Toyota Urban Cruiser Launch Date in India

Toyota Urban Cruiser Launch Date in India – Guys, Glanza ke bad Maruti Suzuki se ab Brezza Toyota ke showroom pe pahuchne wali he. Urban Cruiser ke nam se. But yaha thode changes jyada hone wale he kya kya hone or price, Variant, and Features jante he iske bare me. Vahi aaj company ne iski pahli image revealed kari he.

Toyota Urban Cruiser Launch Date in India –

India me Toyota urban cruiser ko festive season me launch kiya jana he. September me ye gadi aapko showrooms me najar aane lagegi. Or September ending tak delivery bhi start kar di jayegi.

 

Toyota Urban Cruiser Launch Date in India

Toyota Urban Cruiser Specs – 

Specifications bilkul same hone wali he Brezza ke jese hi.

Engine = 1.5L Petrol
Power = 103 bhp @ 6000 rpm
Torque = 138 Nm @ 4400 rpm
Gearbox = 5 speed manual and 4 speed automatic
Mileage = 17.03 kmpl

Maruti Suzuki Brezza VS Toyota Urban Cruiser –

Brezza ka to hum pura review aapke sath share kar chuke hai. Or uske bare me sabhi details aapko de chuke he. Ab Toyota Urban Cruiser me kya naya aane wala he he ye jan lete he. To silhouette pura same rahega Urban cruiser me. Isme new front grill jo ki Fortuner se inspired hogi. Center me bada Toyota ka logo or new alloy wheels aapko Brezza se alag dekhne ko milenge.

Vahi interior me gadi same hi rahne wali hai steering pe Suzuki ki jagh Toyota ka logo mileaga that’s all. Features wise bhi dono gaadiya same hi rahegi Toyota Urban Cruiser Variants ki bat kare to ye top trims VXI and ZXI pe based hone wala hai 2 variant rahenge isme. Or Automatic ka option bhi inhi me aapko milega.

Toyota Urban Cruiser Price and Rivals –

India me Toyota Urban Cruiser ki price 8L se start ho sakti he. Or jesa Glanza me dekha gaya tha vese hi isme bhi Brezza se kam price rakhi jayegi. Or customers ko warranty bhi jyada milegi. Or iske direct rival he. Ecosport, XUV300, Venue, Nexon, and upcoming Nissan Magnite, Renault Kiger, or KIA Sonet.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram