2020 Ford Freestyle Flair Edition Launched in India To Celebrate Festive Season

2020 Ford Freestyle Flair Edition – Guys ek hatchback hai India me jo ki Family car ke sath-sath Performance-oriented bhi he. Company ne festive season ko dhyan me rakhte huye Freestyle Flair Edition launch kiya he.

2020 Ford Freestyle Flair Edition Price –

Bs6 me jaha sabhi companies is segment ki cars me apne diesel engines ka production band kar rahi hai. Vahi Ford ne apne dono petrol and diesel engines ke sath apni BS6 Freestyle Flair Edition ko launch hai. Petrol variant ki price 7.69L vahi Diesel ki 8.79L rakhi gai hai. Ye 30k costly hai top-trim Titanium Plus se.

Kya changes hai jo normal variant ko Flair edition se alag banata hai?

2020 Ford Freestyle Flair Edition Exterior –

Red and Black theme ke sath Freestyle ka exterior bahut hi sporty lag raha hai. Isme aapko Black colour ke alloy wheels, Gloss black roof, Sath hi Red coloured inserts ORVM, skid plates and roof rails me di gai hai. Sath hi car ki sides me bhi red colours ke graphics diye huye hai.

2020 Ford Freestyle Flair exterior Edition

2020 Ford Freestyle Flair Edition interior –

Interior me bhi changes hai jese ki aap andar aate se notice karenge back and grey colour me seats jinpe Flair stiched hai. Vahi red stitchings me ye seats kafi achi lag rahi hai. Door pe bhi red inserts di hui hai.

2020 Ford Freestyle Flair Edition Specifications –

Petrol
Engine – 1.2L Naturally Aspirated
Power – 96hp
Torque – 119nm
Gearbox – 5-speed manual
Mileage – 18.5kmpl

Diesel –
Engine – 1.5L Turbocharged
Power – 100hp
Torque – 215nm
Gearbox – 5-speed manual
Mileage – 23.8kmpl

2020 Ford Freestyle Flair Edition Features – 

Automatic headlamps
Automatic wipers
Rear parking camera
Remote central locking
Automatic climate control
7-inch Touch screen infotainment system

2020 Ford Freestyle Flair Edition interior

Safety Features –

6-speed airbags, ABS with EBD, Electronic Stability Control, Hill hold control, intelligent Active Rollover Prevention (ARP), traction control, rear parking sensors, front and rear fog lamps, seat belt reminder, and speed alert system.

Reason to buy 2020 Ford Freestyle Flair Edition –

Gadi koisi bhi lo usko leke pahle apni requirements or budget bracket jan lena sabse jyada important hai. To agar aapko ek spacious car chahiye and aapko car chalana bhi pasand hai. Sath hi kaam ke sabhi features aapko mil jaye jo daily use me aate hai or maintenance kam ho.

In sabhi points me aapki haa hai to Ford Freestyle aapke liye perfect hai jo ki budget me bhi aajati hai. Iske dono hi engine kafi punchy hai chalane me maja aata hai. And maintenance ke mamle me Ford ki transparency ab sabhi ko pata hai. Jo price mention karte hai utne ka hi bil pay karna hota hai sabhi Service mai.

2020 Ford Freestyle Flair Edition price

So guys ye hai 2020 Ford Freestyle Flair Edition jiske bare me aapko mene sabhi information dene ki koshis kari hai. Ab bhi aapko kuch doubt hoto niche comment kardo ya Instagram pe direct message:)


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram