Honda Hness CB350 Revealed, Price, Mileage, Colours, First Look

Honda Hness CB350 – Guys, Honda ne India me H’Ness CB350 ko unveiled kar diya hai. And aaj isi ke bare me discuss karte hai. Company ne ise do variant me launch kiya hai. DLX and DLX Pro Ye bike Royal Enfield or Jawa ko takkar degi. Bike me kafi premium materials ka use kiye gaya hai. And bike ki price company kya rakhne wali hai uski hint bhi di hai. To chaliye jante hai kesi hai the all-new Honda H’ness CB350.

Honda Hness CB350

Honda Hness CB350 Price –

Jese ki sabse pahle price discuss karte hai vese hi aaj bhi sabse pahle price ki bat karte hai. Indian Market me Company ka kahna hai ki iski price 1.9 Lakh ke around hone wali hai. Bike ko 2 variant me launch kiya jana hai or dono ki price me lag-bhag 8-10 thousand ka difference expect kiya ja raha hai.

Honda Hness CB350 Specifications –

Engine = 350cc, air-cooled 4 stroke OHC single-cylinder engine equipped with PGM-FI technology.
Power = 20.8PS
Torque = 30NM @ 3000rpm
Gearbox = 5-speed manual

Honda Hness CB350 DLX VS DLX PRO –

DLX me aapko singke tone colour scheme milegi (Precious Red Metallic, Pearl Night Star Black, Mat Marshal Green Metallic) or DLX PRO me Dual-tone shade ke options milenge (Athletic Blue Metallic & Virtuous White, Pearl Night Star Black & Spear Silver Metallic, Mat Steel Black Metallic & Mat Massive Grey Metallic)

IMG_1888Honda Hness CB350 tail light

Sath hi DLX PRO variant me aapko Honda Smartphone Voice Control system, Dual Horn (Chrome Finish) me milenge. Ye sabhi difference definitely DLX PRO ko ek acha option banate hai bas price company sahi rakhe to sabse jyada top variant me hi H’ness sell hogi. 

Honda Hness CB350 Brake & Suspensions – 

Bike me front me 310mm ka disc brake diya hai or rear me 240mm ka disc brake sath hi dual-channel ABS system se bike less hai. Bat kare suspension setup ki to front me telescopic suspension or rear me twin gas-charged shock absorber diye gaye hai.

Honda Hness CB350 Tyres – 

H’ness mai front me 19-inch ka 100 section ka tyre or rear me 130 section ka 18-inch ka tyre lagaya hua hai. Or 7 spoke y shaped alloy wheel dikhne me kafi acha lag raha hai.

Honda Hness CB350 Instrument cluster features – 

Advanced Digital – Analogue Speedometer bike me diya gaya hai. Jo ki retro feel ko banaye rakhata hai Morden appeal ke sath. Isme aapko 3 mode me fuel efficiency show hogi jese real-time mileage, Average fuel economy or distance to empty, Baki ABS, Side stand indicator, ECO indicator, HSVCS, gear position indicator, and battery voltage meter jese features diye gaye hai jo ki ise apne segment me ise ek step aage lekar jata hai.

Honda Hness CB350 Exhaust Note – 

Bike ka sound kese hai vo aap niche di gai video me sun sakte hai or dono hi variant ko live dekh bhi sakte hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram