Honda Amaze CNG Variant Spied on Test

Rising fuel prices ne sabhi manufacturers ko fuel-efficient and low running cost vehicles ko manufacture karne ke soch me daal diya hai. India me CNG ko petrol / diesel se comparison me cheaper option maana jaata hai aur manufacturers bhi apne product line-up me CNG model ko include kar rahe hai. Humne recently Honda ke entry level sedan Amaze ko emission testing apparatus ke saath spot kiya hai and ye speculated hai ki in future Honda Amaze me CNG variant include ho sakta hai.

Honda Amaze CNG Variant Spied on Test

Honda Amaze CNG Variant Spy Images

Honda Amaze CNG Variant Details

Honda Amaze Indian market ke entry level sedan segment me compete kati jisme Maruti Suzuki Swift Dzire, Tata Tigor and Hyundai Aura jaisa vehicles bhi hai. Honda Amaze ke alawa baki competitors ne already apne products ko CNG variant me launch kiya hai. Honda rising fuel prices ko consider karte hue, apne sedan me CNG variant ko launch karna chahega. Most likely, Honda Amaze CNG variant hume Amaze ke base E trim ke saath offer ho sakti hai. Design wise hume koi changes dekhne nahi milta hai aur iss CNG variant me bhi same design carry hoga jo August 2021 me launch hue Amaze me dekhne mila tha.

Honda Amaze CNG Variant Spied with Emission Testing Appratus

Honda Amaze CNG Engine

Honda Amaze me 1.2-litre i-VTEC petrol and 1.5-litre i-DTEC engine offer kiya jaata hai. CNG variant ko petrol engine ke saath combine kiya jaayega jo 89 HP power and 110 Nm torque produce karta hai. Iss variant me only 5-speed manual transmission offer kiya jayega.

Honda Amaze ki current pricing Rs 7.20 lakhs – 11.20 lakhs (ex-showroom) hai.

 

Source – Gaadiwaadi.com


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram