Kuch dino pehle humne report kiya tha ki Toyota Hilux pickup truck ko January 2022 me launch kiya jaayega. Toyota Hilux pick-up truck ko already international market me sell kiya jaata hai and Indian market me ye car Innova and Forturner ke middle me position kiya jaa sakta hai. Hume, Toyota Hilux ke undisguised images dekhne mile hai jahan iss car ko TVC shoot ke time spot kiya gaya.
Toyota Hilux Spotted in India During TVC Shoot
Toyota Hilux Vehicle Details
Toyota Hilux ko same IMV platform par build kiya jaata hai jiss pe Fortuner and Innova Crysta ko build kiya gaya hai. Toyota Hilux ko humne Indian roads par multiple times spot kiya tha. 2020 me Mahindra Thar ke successful launch ke baad, Indian consumers Lifestyle segment vehicle ko zyada prefer karne lage aur ye sahi time ho sakta hai Toyota ke liye apne Hilux ko launch karne.
International market me Toyota Hilux, kafi popular and successful vehicle hai. Iss vehicle ke dimensions 5325 mm x 1855 mm x 1810 mm hai. Iss pickup vehicle ki wheelbase 3085 mm hai. Toyota Hilux me hume LED fog lamps, 18 inch alloy wheels, 8 inch touchscreen infotainment system, rear view camera, etc. offer kiya jaata hai.
Toyota Hilux Enigne
Toyota Hilux ko international market me only diesel engine ke saath offer kiya jaata hai. Iss car me hum 2.8-litre diesel engine dekh sakte hai jo 201 PS power and 500 Nm torque produce karta hai. Ye engine ko humne recently launched Fortuner Facelift me dekha tha. Iske alawa hum Hilux me 2.4-litre diesel engine bhi dekh sakte hai jo 150 PS power and 360 Nm torque produce karta hai. Dono engines me 6 speed manual and automatic transmission ka option mil jaata hai. Toyota Hilux me rear wheel drive standard hai and higher variants me 4×4 feature offer kiya jaata hai.
Toyota Hilux directly compete karega with Isuzu V-Max se in Indian market.
Image Source – TeamBHP
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.