Kia Seltos Facelift With Panoramic Sunroof to be Launched in Mid 2022

Kia Seltos, Kia Motors ki first vehicle thi for Indian market jisse 2019 me launch kiya gaya. Kia Seltos ko same platform par based hai jispe Hyundai Creta ko build kiya jaata hai.  Seltos ne Indian market me kafi accha perform kiya hai and in no time, segment competitor Creta ke sales number ko bhi beat kar diya. Kuch time pehle humne Seltos ke facelift model ko test karte hue spot kiya tha and ab reports se pata  chalta hai ki Kia Seltos me finally Panoramic sunroof offer kiya jaayega jisse mid-2022 me launch kiya jaa sakta hai.

Kia Seltos Facelift With Panoramic Sunroof to be Launched in Mid 2022

2022 Kia Seltos Spied on Test

Kia Seltos Facelift Details

Kia Seltos Facelift me hume Kia ki new styling language, “Opposites United” dekhne milega jisse Kia ne Carens MPV ke saath introduce kiya tha. Earlier, spy images se hume dekhne milta hai ki, 2022 Seltos me new designed front and rear end offer ho sakta hai. Iss car me new headlight, new front grille, redesigned front and rear bumper, new taillights and new set of alloy wheels offer ho sakte hai. Current model ke comparison me new Seltos me biggest change dekhne milega in the form of Panoramic Sunroof jisse likely top end trims me offer kiya jaa sakta hai. Mid-level trim me hume similar smaller sunroof dekhne mil sakta hai jo current model me milta hai.

Kia Seltos Interior Images

Kia Seltos facelift ke interior me bhi changes dekhne milenge. Mostly, ye changes will be in the form of additional tech features. Kia apne vehicles me loads of features offer karta hai jisse woh apne rivals ko easily undercut kar deta hai. Reports se ab hume pata chal raha hai ki Kia Seltos facelift me ADAS safety feature include kiya jaa sakta hai jo hume Mahindra XUV700 and MG Astor me dekhne milte hai. Other than that, Seltos me hume same 10.25 inch touchscreen infotainment system with connected tech, 8 inch heads-up-display, 360-degree camera, ventilated seats, BOSE sound system, 6 Airbags, etc. jaise features offer honge.

Kia Seltos Engine

2022 Kia Seltos me same engine offer hoga jo current generation model me offer hota hai. Iss car me same three engine options offer kiye jayenge jo previous model me offer hote the – 1.5-litre NA petrol, 1.4-litre GDi turbo petrol and 1.5-litre CRDi diesel engine. Transmission ki baat kare toh hume 6 speed manual, 6 speed torque convertor and 7 speed DCT gearbox offer hote hai.

Kia Seltos ki pricing Rs 9.95 Lakhs (ex-showroom) hai. Facelift update ke baad iss car ki pricing me increase dekhne mil sakta hai. Seltos, compete karti hai with Hyundai Creta, Skoda Kushaq and Volkswagen Taigun se.

2021 Kia Seltos Rear Images

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram