Bajaj to Launch Pulsar NS 250 and RS 250 in 2021

Bajaj to Launch Pulsar NS 250 and RS 250 in 2021 – Bajaj Auto ne Pulsar series motorcycle ko  2003 me introduce kiya tha jo kafi high numbers me sell hui hai. Bajaj Auto ki maxium sales, Pulsar brand ke through generate karti hai. Over the years, Bajaj ne Pulsar series me kai saare motorcycles ke addition kiye hai. Pulsar series par currently NS 200 and RS 200 flagship motorycles hai jinhe jald hi NS 250 and RS 250 motorcycle se replace kiya jaayega.

Bajaj to Launch Pulsar NS 250 and RS 250 in 2021-

Bajaj Pulsar Series

Bajaj Pulsar NS 250 Details-

Bajaj NS 250 based hogi NS 200 par jisse 2012 me launch kiya tha. Bajaj NS 200 ab tak same design retain karti hai jo hume launch hone par dekha tha. Bajaj NS 250 me hume similar design dekhne mil sakta hai with new graphics and some updates. NS 250 me hum new instrument cluster, repositioned seat, and larger fuel tank expect kar sakte hai. Engine ki baat kare toh hume NS 250 me same engine dekhne milega jo humne Dominar 250 me dekhne mila tha. Iss engine ko KTM Duke 250 se share kiya gaya hai jo 23.5 HP and 27 Nm torque produce karta hai. Iss bike pe hume front and rear disc brake, single channel ABS, etc. expect kar sakte hai.

Bajaj NS 200

Bajaj Pulsar RS 250 Details-

Bajaj Pulsar RS 250, Bajaj ki only fully faired motorcycle hai jisse 2015 me launch kiya gaya tha. Iss bike ko ek sporty look diya gaya tha. Bajaj Pulsar RS 250 par bhi hume same design dekhne milega. Iss bike par hum dual LED headlamps, new instrument cluster, slipper clutch and larger disc brakes expect kar sakte hai. RS 250 me hume same 248.8cc, single cylinder, liquid cooled engine dekhne milega jisse Dominar 250 par bhi use kiya gaya hai. Ye engine 23.5 HP and 27 Nm torque produce karti hai.

Bajaj RS 200

Bajaj aur unke sub-brands KTM and Husqvarna 250cc motorcycle ke saath segment me competition increase kar rahe hai with variant of motorcycle. Bajaj surely apne 250cc PRO-LEAGUE ko expand karega with launch of Pulsar NS 250 and RS 250. Inn bikes ka launch hume late 2021 me expect kar sakte hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram