Benelli TRK 251 vs KTM Adventure 250 – Comparison

Benelli India ne recently apne TRK line-up of adventure motorcycle me Benelli TRK 251 ko add kiya hai. Ye motorcycle, Benelli ki entry level motorcycle hai. KTM ne 2020 ke start me Adventure 390 ko introduce kiya for Indian market. Late 2020 me KTM ne Adventure 250 ko bhi Adventure list me add kar diya hai. Aaj hum comparison dekhenge of both these motorcycles.

Benelli TRK 251 vs KTM Adventure 250 – Comparison

Benelli TRK 251 vs KTM Adventure 250 – Comparison

Price

Benelli TRK 251 ko Indian market me Rs 2.51 Lakhs (ex-showroom) ke price ke saath launch kiya hai.

KTM Adventure 250 ka price Rs 2.32 Lakhs (ex-showroom) hai.

Design and Dimension

Benelli TRK 251 ko steel trestle in steel tube frame par build kiya gaya hai. Iss bike ke dimensions 2070mm x 1300mm hai. Iss bike me 170mm ground clearance and 800mm seat height offer hota hai. Iss bike ka design TRK 502 se kafi resemble karta hai and sporty graphics bhi offer kiye jaate hai.

KTM Adventure 250 ko steel tresllis frame par build kiya gaya hai. Iss bike ke dimensions 2154mm x 1263mm hai. Iss bike me 200mm ground clearance and 855mm seat height milta hai. KTM Adventure 250 ke design Adventure 390 se kafi similar hai, only differ being in terms of tyre size and headlight unit offered.

KTM Advenutre 250 Front

Features

Benelli TRK 251 me bi-lens LED hedlights, LED DRLs, fully digital instrument cluster, front telescopic forks, rear monoshock, 280mm front disc, 240mm rear disc, 17 inch alloy wheels, 18-litre fuel tank jaise features offer hote hai.

KTM Adventure 250 me halogen headlamps with LED DRLs, fully digital instrument cluster, front telescopic suspension, rear monoshock, 320mm front disc, 230mm rear disc, dual channel ABS, 19inch front wheel, 17inch rear wheel, 14.5-litre fuel tank jaise features offer hote hai.

Benelli TRK 251 Black

Engine

Benelli TRK 251 me 249cc, single-cylinder, liquid cooled engine offer hota hai jo 25.8 HP power and 21.1 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6-speed transmission ke saath mate kiya gaya hai.

KTM Adventure 250 me 248.8cc, single-cylinder, liquid-cooled engine offer kiya jaata hai jo 29.5 HP power and 24 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6-speed gearbox ke saath combine kiya gaya hai.

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram