Best Compact SUV in india Under 12 Lakh 2020

Best Compact SUV – India me Compact SUV ki demand continuously bad rahi hai. And kafi ache numbers me inki selling bhi ho jati hai. Top 3 best compact SUV in India konsi hai? ye sabse jyada bar puche jane wala question hai. Compact suv ke segment mai. To chaliye aaj isi topic pe discuss kar li jaye…

Best Compact SUV –

India me 3 categories ke log hai jo gadi purchase karte hai.

1st – Sabse pahle aate hai Family use ke liye purchase karne wale log

2nd – Ye log apne office jane aane ke liye use karte hai.

3rd – Inhe highways pe bahut travel karna hota hai. Or running bhi kafi achi hoti hai.

Mene aaj 3 Compact SUV choose kari hai jo aapko in 3 alag alag cetegoryies me milegi. Aapko bas ye pata karna hai ki aap konsi category me aate hai. Otherwise kya hota hai ki aapko top 3 cars bata di jati hai then confusion bana hi rah jata hai ki in 3 mai se konsi purchase kare.

Top 3 Best Compact SUV – 

Family Purpose Tata Nexon

Sabse jyada safety chahiye family ke sath kahi bhi jaye to space achi honi chahiye. Kabhi kabhi ya mahine ki running kam hoti hai to low maintenance cost honi chahiye. To in sabhi points pe Nexon khari utarti hai. or aapko isko chalane me bhi maja aayega sath hi aapko price ke according best-looking SUV bhi mil jati hai 210mm ka ground clearance bhi mil jata hai.

Aapki running 1500km se kam hai mahine ki to aapko petrol leni chahiye or jyada hoto diesel. Dono hi engine kafi achi performance offer karte hai. Sath hi iske sath kafi ache AMC pack aap le sakte hai jisse aapko iska maintenance or kam padega. And gaadi ki seating bhi comfortable hai. Or aapko bhi meri tarah music ka shok hai to isse best sound system Compact SUV ke pure segment me nahi hai.

Business Purpose – Hyundai Venue

Yaha aapko mostly akele drive karni hoti hai. and weekends pe apne partner ke sath shopping karne jana hota hai. Sath hi aapko ek aese gaadi bhi chahiye jo ki looking me kaafi mature lage or aapki personality se match bhi ho jaye.

Iske liye Hyundai venue sabse best option hai. Aapko drive karne ka shok ho to aap Turbo variant purchse kar sakte hai. Jo ki kafi fun to drive bhi hai. Or sath hi aapko vanue me connected features mil jate hai jisse aap apne office se nikale ke pahle aapni car ko thandi kar sakte hai and kabhi aapka driver lekar gaya hoto uski driving pattern or location bhi jan sakte hai.

To aap hi ki tarah aapko ek smart suv ki jarurat hai or venue isme best hai. Ab bahut sare logo ke man me aayega family use ke liye ise kyu nahi suggest kiya to reason ye hai ki venue ki rear seat ki width kam hone se 3 passenger nahi beth pate hai. And iske alawa bhi or koi question aa raha hai to niche comment kardo.

Highway Use – Mahindra XUV300

Jab aapko highway pe ride karna hota hai ya roj 100-150km ride hoti hai jaha aap ya to apne factory ja rahe hai ya kuch or kam se mostly travel karte rahte hai. Aapko sabse jyada jo jarurat hai vo hai safety or ek stable gaadi ki. To in sabhi mamle me XUV300 se best ko or alternative hai hi nahi abhi market mai.

XUV300 segment me best in class stability provide karti hai. Uska reason hai dono wheels left or right ke bich ki jyda space hona. Or iske dono hi engine kafi punchy Performace offer karte hai. aap 120kmph cross kar dete hai or aapko pata bhi nahi chalta. Sath hi 4-wheel disc brakes, 7 airbags, Front parking sensor or dual-zone climate control jese advanced features isme aapko mil jate hai.

Or last but not least Mahindra apni service cost launch ke time pe hi clear kar dete hai. ki kitni maintenance cost hogi gaadi ki. Yahi sabhi mil ke XUV300 ko kafi premium Compact SUV segment me sabse aage lakar khada kar dete hai.

But is gaadi ke liye aapko thodi premium price pay karni hoti hai or boot space thoda kam milta hai but practicle hai ek bar jab aap test ride le to yad se ise check kar le.

I hope guys Best compact suv in india ya top 3 compact suv in india 2020 jese topic ab aapko search nahi karne padenge. Or kuch bhi dobt ho aap mujhe niche comment kar ke bata instagram pe join ho jao vaha bat kar sakte hai and sari auto updates vaha bhi aap le sakte hai.

 


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram