BMW 220i M Sport launched in India at Rs 40.90 lakhs – BMW 2 Series Gran Coupe, BMW ki entry-level luxury sedan vehicle hai jisse 2019 me globally unveil kiya gaya tha. Iss car ko BMW ke ULK platform par build kiya gaya hai and unlike any other 2 Series Coupe and Cabriolet jo rear wheel drive hai, Gran Coupe me hume front wheel drive dekhne milta hai.
BMW ne India me 2 Series Gran Coupe ko 220d diesel enige ke saath launch kiya tha in October 2020. Aaj BMW ne iss car ke petrol engine, 220i M Sport ko launch kiya hai.
BMW 220i M Sport launched in India at Rs 40.90 lakhs-
BMW 220i M Sport-
BMW 220i M Sport ko locally, BMW Group ke Chennai Plant me produce kiya jaata hai. Iss car ko sporty design milta hai. Iss car me hume stretched silhouette, four framless door, new kidney grille, LED headlights, and LED tail lights jaise features exteriors me dekhne mil jaate hai.
Iss car ke interior me hume spoty seats with electric memory function, paoromic sunroof, ambient lighting, 12.3 inch digital instrument cluster, 3D navigation, 10.25 inch touchscreen infotainment system with wireless Apple CarPlay, wireless charging, reverse camera, 6 airbags, ABS with Brake assist, dynamic stability control, traction control etc. jaise features dekhne mil jaate hai.
BMW 220i M Sport Engine-
BMW 220i M Sport me hume 2.0-litre Twin Power Turbo petrol engine dekhne milta hai jo 190 HP and 280 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 8 speed steptronic sport automatic transmission ke saath combine kiya jaata hai. Ye car 0-100 km/hr attain karti hai in just 7.1 seconds.
BMW 220i M Sport ko introductory pricing of Rs 40.90 lakhs (ex-showrrom) ke saath offer kiya jaata hai. Ye car Indian market me Audi A3 and Mercedes Benz CLA se compete karti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.