BS6 Kawasaki Ninja 300 to launch in 2021 – December 2019 me Kawasaki ne apne entry level bike Ninja 300 ko Indian market me discontinue kar diya. Kawasaki Ninja 300 me BS4 compliant engine milta tha aur updated norms ke wajah se iss bike ko Indian market me discontinue karna pada.
BS6 Kawasaki Ninja 300 to launch in 2021-
BS6 Kawasaki Ninja 300-
2018 me Kawasaki ne Ninja 300 ko locally assemble karna shuru kiya. Kawasaki ne body panels, brakes, cables, tyres and headlights jaise components ko localised kar diya. Parts ke localisation ke wajah se iss bike ke price ko significantly reduce kar diya aur iss segment me competition aur bhi badh gaya. Ab Kawasaki plan kar raha hai ki woh Ninja 300 ko further localise karne ke liye engine ko bhi locally assemble karna shuru kar de jisse iss bike ke price further reduce kiya jaa sakta hai. Reports se ab pata chala hai ki early 2021 me hume BS6 compliant Kawasaki Ninja 300 ko India me launch hote dekhne mil sakta hai. Kawasaki iss bike pe kaam kar raha hai aur is bike ke regarding jald hi hum koi official announcement sunne milega. BS6 Kawasaki Ninja 300 me hume engine ke alawa koi major changes nahi dekhne milega. Iss bike pe hume signature Kawasaki dual LED headlights, floating-style windscreen, part-digital part-analog instrument cluster dekhne milega.
Kawasaki Ninja 300 Engine-
Kawasaki Ninja 300 me hume 296c, parallel twin, liquid cooled engine dekhne milta hai jo 39PS power aur 27 Nm torque generate karti thi. BS6 updates ke baad power figures me minute changes dekhne mil sakta hai.
BS6 Kawasaki Ninja 300 ka launch hum 2021 March me expect kar sakte hai. Ye bike Indian market me compete karegi TVS Apache RR 310 aur KTM RC 390 se.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.