BS6 Kawasaki Versys 650 – Guys, Corona ke time me kahi jana hoto public transport to aap bhul hi jaiye. Or 6-7L ke budget me koi SUV nahi aati jisme aapko off-roading capability’s mil jaye. To is budget me aapke liye BS6 Kawasaki Versys 650 one of the best option hai jise aap jaha chahe vaha leke ja sakte he.
Bike launch hui he but starting mene cars se kari because is budegt me yahi ek option se Automobile segment me jo ki pocket-friendly hone ke sath sath hi. Ab eco-friendly bhi ho gai hai.
BS6 Kawasaki Versys 650 Price –
India me pahle BS4 se iski price 10k badi hai. But isme changes jo company ne kiye hai vo price ko justify karte hai. Vahi ab ye Rs. 6,79,000 Ex-Showroom price pe available hai. Aap apne nearest dealership pe jake ise book karva sakte hai.
BS6 Kawasaki Versys 650 Highlights –
1. 649cc parallel-twin engine (Cleaner Emissions)
2. Large volume fuel tank (21Litres)
3. Inverted front fork
4. Petal brake discs
5. Adjustable windscreen
6. Wide handlebar
7. Offset laydown single-shock with remote preload adjuster
8. 17” wheels
9. Sharp sporty styling
10. Gear Indicator
BS6 Kawasaki Versys 650 Changes –
Bike me minor tweaks kiye gaye hai design elements mai. Or power output thoda kam hua hai pahle bike 69ps 64nm ka power output deti thi. ab 66ps and 61nm ka power produce karti hai. Vahi weight 2 kg’s increase hua hai.
Wheels aapko 17inches ke milte hai vahi suspension setup front me inverted fork diye huye hai and rear me Offset laydown single-shock with remote preload adjuster jo ki sabhi terrain pe bettre handling or riding aapko provide karte hai.
So guys ye hai the all new BS6 Kawasaki Versys 650 i hope aapko bike pasand aai hogi. Or kuch bhi doubt ho bike se related to aap hume niche comment kare ya Instagram pe direct massage kare.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.