Cabin AC Filter – Things You Need to Know – AC filter jo hota hain air cabin filter hota hain ek important element gaadiyo ke cooling and heating system mein, cabin AC filter car mein travel karte passengers ki safe air breathing ke liye invent kiya gaya tha kyuki gaadi ka air conditioning system atmosphere se air suck karke aapko Thanda rakhta hain gaadi ke andar and wahi Thandi hawa aapke liye safe to breathe banate hain yeh AC filters. Toh kaise use kiya jata hain AC filter and usually kitne time baad aapko apni gaadi ka AC filter change karwana chaiye hum bataenge aapko.
Inn AC filters mein different types ke filters aate hain jo different bacteria and pollutants ko filter kar sakta hain so let’s start our discussion.
Cabin AC Filter – Things You Need to Know-
What is AC filter?-
AC filter ka kaam hota hain to remove health ke liye harmful pollutants jaise dust and other air ke saath enter karne waale harmful cheeze, cabin air filter mostly gaadi ke interior mein located hota hain and exact location ki baat ki jaaye toh yeh filter placed hota hain glovebox ke peeche.
So basically saari air jo bhi gaadi ke exterior vents ke through enter karti hain gaadi ke air conditioning system mein uske baad who air pass karti hain iss filter se aapke AC vents se bahar nikalne se pehle, as soon as normal atmosphere air cool hoke aapki taraf badhti hain through AC vents just usse pehle cooled air iss slim se filter se pass hoti hain and mostly saare harmful particles apni filter mein stuck karleti hain jisse passengers get hygienic air to breathe inside the car cabin.
Cabin Air Filter – When to Change?-
Cabin air filter ke kuch indications hote hain jis se aap samjh sakte hain ki aapki gaadi ke air conditioning system ka filter abb maximum level par use ho chuka hain and abb usko change karne ki zarurat hain toh woh kuch indications hain jaise:
-Smelly air aapke AC on karte hee aaye.
– aapki gaadi ke AC ki hawa ka flow jab utna effective na ho.
– and maybe sometimes aapka AC dust particles throw kare vents ke through.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.