Cars With Big Boot Space Under 10 Lakh in India 2020

Cars With Big Boot Space Under 10 Lakh in India 2020 – Guys, Aaj bat karenge unke liye jinhe 10 lakh ke budget me aesi gaadi chahiye jiska boot space kafi bada ho. Bahut se log hote hai jinke pass kuch aesa saman hota hai cahe vo business purpose ke liye ho ya long tour pe jate time unka luggage. Or iske liye unhe jitna bada boot space mil jaye utna jyda acha hota hai.

To kuch cars hai 10 lakh ke budget me jo ki aapki is need ko kafi ache se fulfill kar sakti hai. – Cars With Big Boot Space

Cars With Big Boot Space Under 10 Lakh in India 2020 –

1 – Renault Kwid 

Sabhi ko pata hai Alto ka market koi tod paya hai to vo hai Renault kwid. Reason hai iska look or space. Cabin mai to kafi space hai hi but boot space bhi 300L ka hai jo ki apne segment me sabse jyda hai sath hi aap seat fold kar sakte hai agar ye sapce bhi aapko kam lgata hai to.

Kwid 2020 Cars With Big Boot Space

2 – Wagon R 

Bahut se logo ki ye gaadi pahli pasand hoti hai iske tall boy design ke karan. Isme aapko headroom apne segment me sabse acha milta hai sath hi leg space bhi badiya hai or gaadi ka boot space bhi 341L ka hai jo ki again apne aap me kafi jyda bada boot hai.

Or kai sara saman aap isme rakh sakte hai. Ye petrol or CNG dono mai available hai agar aap isme cng kit bhi lagwate hai to bhi isme lag-bhag 200L ke aas pass ka boot space bach jata hai.

Isme bhi aap seat down kar sakte hai. Or bas ek bat ka dhayn rakhna safety ke mamle me ye car itni achi nahi hai. So bettre agar aap ise city me hi use karne ke liye le rahe hai to achi bat hogi aapke liye.

2020 wagon r Cars With Big Boot Space

3 – Honda Jazz

Most underrated Premium hatchback hai Honda Jazz India me but jab practicality ki bari aati hai to Jazz number 1 pe hoti hai. Jazz me aapko kai sari space milti hai jisme ki 354L to boot space di gai hai. Or cabin area ke mamle me bhi jazz ka koi tod nahi hai.

Jazz ki seats down karne ke bad flat floor banta hai jisme koi 5.6ft ke aas-pass ka person so bhi sakta hai. Honda ki build quality or reliability top-level ki hai.

To jinhe long term ke liye premium hatchback purchase karni hai or space unki first priority hai to jazz lena hi sense banata hai. Mileage bhi kafi acha dedeti hai or dono hi engine bhi kafi ache hai. ha diesel engine thoda noisy hai. But mileage ke mamle me iska koi tod nahi.

honda jazz Cars With Big Boot Space

4 – Honda Amaze

Again Honda ki taraf se hi ek or gaadi jo ki compact sedan segment me aapko sabse jyada boot space provide karti hai 420L ka. Amaze ka detailed review aap humare youtube channel pe bhi dekh sakte hai. Sath hi Honda ka trust aapke sath hai.

Amaze compact sedan segment me kafi ache numbers me sell hoti hai to resell value ka bhi koi dar nahi hai. Amaze me milne wale dono hi engine ab BS6 me available hai or pahle se or bhi jyda refine fell hote hai.

honda amaze Cars With Big Boot Space

5 – Renault Triber

Cars With Big Boot Space Series me ye last car hai – Ye kahne ko to 7 seater hai but rear-seat pe bache hi beth sakte hai. And agar bat aajaye ise 5 seater me use karne ki to rear seat fold karne par isme aapko 625L ka bhaut bada boot milta hai. Or Renault ne iski TVC me bhi bataya hai ki ise aap bahut sari tarah se use kar sakte hai.

Yane ki kahi tarah se iski seats fold hoti hai nikal bhi jati hai. Renault apni puri lineup ko upgrade kar chuka hai or BS6 me ab sare Renault ke vehicle available hai.

2020 triber Cars With Big Boot Space

 

Cars With Big Boot Space – So guys, Ye top 5 Cars hai under 10 lakh rs me jo ki aap purchase kar sakte hai agar aapko bade boot space ki requirement hai to. Sath hi in sabhi gadi me aapko space bhi kafi achi mil jayegi. jisse ki aap apni family ke sath long tour pe ja sakte hai kai sara luggage cary karke.

Or apne business ke liye bhi in gaadiyo ko use kar sakte hai. Aap jyda saman carry karke jana hota hai to. Or ab bhi aapko kuch dobt hoto aap hume Instagram pe massage kar sakte hai jisse ki aapke doubt usi time solve ho jaye or chahe to niche comment bhi kar sakte hai.

 


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram