Citroen C3 Spotted Testing In India

Citroen C3 spotted testing in India-  Citroen C3 ko spot kiya gaya hain India roads par testing karte hue and Citroen plan kar raha hain launch karne ka iss new sub-compact SUV ko Indian market mein. Citroen C3 place hogi sub 4 meter compact SUV segment mein atleast India mein and compete karegi newly launched Renault Kiger, Nissan Magnite etc. Citroen C3 ko without complete camouflage mein spot kiya gaya jisme gaadi ke front looks ko definitely spot kiya jaa sakta hain.

So Citroen C3 ka launch hum kab expect kar sakte hain and in what price range, and kya kya features expected hain as of now chaliye discuss karte hain.

Citroen C3 spied testing in India –

Citroen C3 Design-

Citroen C3 ko bhi CItroen ne apne conventional design language ke according design kiya hain jo hume spy shot mein evidently dikhra hain, Citroen ki recently C5 Aircross India mein launch hui hain and jis prakar C5 Aircross mein humko round elements and shape of headlights dekhne ko milti hain similarly C3 mein bhi aisa hee kuch design dekhne ko milega.

Exterior looks ki agar baat kare toh Citroen C3 mein similar window line jaisi C5 Aircross mein dekhne ko milti hain, split LED headlmaps with LED DRLs on top, front grille similar to C5 Aircross with Citroen logo going along the grille etc. jaise elements dekhne ko mil jayenge, all in all C3 ka design inspired hoga apni bigger sibling C5 Aircross se.

Citroen C3 engine options-

Citroen C3 currently Brazil and India mein testing ke phase mein but kaafi saari countries mein yeh compact SUV already exist karti hain for example U.K, and hopefully engine options common hee rakhe jayenge. Engine options jo offer kar sakta hain Citroen woh hain, 1.2L turbo petrol and 1.0L turbo petrol engine options with both manual and automatic gearbox options.

Citroen C3 features expected- 

Citroen C3 hogi budget compact SUV, but buyers ke liye C3 ko ek attractive option bana sakte hain iss gaadi ke features jaise, large touchscreen infotainment system with Android Auto and Apple CarPlay, connected car tech, push button start/stop, cruise control, automatic climate control, digital MID, reverse camera with parking sensors, electric ORVMs etc.

Citroen C3 Spotted Testing In India

Citroen C3 expected price-

Abb price bahot crucial role play karega Citroen C3 ki success mein and ultimately Citroen ki overall success Indian market mein, So Citreon ko competitvely price karni padegi apni new car and humare according Citroen sub compact SUV ke segment ko aur competitve bana sakti hain by launching C3 at an introductory price of around Rs.5.5 lakh – Rs.6 lakh.
Citroen C3 Spotted Testing In India
At the end hum yahi kahenge ki Citroen ne C5 Aircross jo pehla product hain unka Indian market ke liye usko launch kiya hain bit of costlier side pe toh budget friendly car launch karne ki kafi zarurat hain Citroen ko so C3 ek aur aisa product rahega jo agar acche price par launch kiya gaya toh Citroen lambe time tak tikk payegi itne competitive Indian market mein.


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram