Citroen C5 Aircross SUV to Launch in India on 7th April 2021

Citroen C5 Aircross SUV to Launch in India on 7th April 2021 – Citroen C5 Aircross, French carmaker Citroen ki first product jisse Indian market me launch kiya jaane wala hai. Citroen ne apne C5 Aircross SUV ka India unveil February 2021 me kiya tha aur iss car ki bookings bhi start kar di thi. Iss car me kai saare exciting features dekhne milte hai jo segment ke kisi car me nahi hai. Citroen ne ab announce kiya hai ki woh iss car ka launch and price unveil 7th April 2021 ko karenge.

Citroen C5 Aircross SUV to Launch in India on 7th April 2021-

Citroen C5 Aircross Images

Citroen C5 Aircross SUV Details-

Citroen C5 Aircross SUV ko CKD route ke though layega aur isse Citroen ke Thiruvallur Plant in Tamil Nadu me assemble kiya jayega. Iss car ko Groupe PSA ke EMP2 platform par build kiya jayega. Iss car me hume black matte front grille, LED projector headlamps, LED DRLs with LED turn indicators, fog lamps, 3D LED rear lamps, high mounted LED stop lamps, and integrated spoiler dekhne mil jaate hai. Iss car me 18inch ke alloy wheels offer kiye jaate hai.

Citroen C5 Aircross me hume 12.3 inch TFT instrument cluster dekhne milta hai. Iss car me 8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto bhi offer kiya jaata hai. Additionally, iss car me hume panoramic sunroof, dual zone climate control, electric tailgate, push button start jaise other features bhi offer kiye jaate hai.

Citroen C5 Aircross Side Profile.jpeg

Citroen C5 Aircross Engine-

Citroen C5 Aircross India me 2.0-litre, DW10FC diesel engine ke saath available hoga. Ye engine 177 PS power and 400 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 8 speed automatic transmission ke saath combine kiya jayega. In future hum iss car me petrol engine ka option bhi dekh sakenge.

Citroen C5 Aircross ko two variants me offer kiya jaayega – Feel and Shine. Iss car me 4 body colour options milte hai – Pearl White, Cumlus Grey, Tijuca Blue and Perla Nera Black. Ye car Indian market me compete karegi with Jeep Compass, Tata Harrier and MG Hector.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram