Citroen C5 Aircross SUV Unveiled In India

Citroen C5 Aircross SUV Unveiled In India – French carmaker Groupe PSA, Indian market ko enter karne wali hai Citroen brand ke saath. Citroen C5 Aircross, brand ki pehli car hogi India me launch hogi. Iss car ka launch initially 2020 ke liye planned tha but pandemic ke wajah se launch ko delay kar diya.

Kuch dino pehle Citroen India ne apne Tamil Nadu plant me se C5 Aircross SUV ka first production model ko roll-out kar diya tha. Aaj Citroen India ne apne footsteps Indian market me rakh diye hai aur C5 Aircross SUV ko unveil kar diya hai.

Citroen C5 Aircross SUV Unveiled In India-

Citroen C5 Aircross Images

Citroen C5 Aircross SUV Details-

Citroen C5 Aircross SUV ko CKD route ke though layega aur isse Citroen ke Thiruvallur Plant in Tamil Nadu me assemble kiya jayega. Iss car ko Groupe PSA ke EMP2 platform par build kiya jayega. Iss car ke dimension 4500mm x 2099mm x 1710mm hai. Iss car ki wheelbase 2730mm hai aur iska ground clearance 230mm hai. Iss car me hume black matte front grille, LED projector headlamps, LED DRLs with LED turn indicators, fog lamps, 3D LED rear lamps, high mounted LED stop lamps, and integrated spoiler dekhne mil jaate hai. Iss car me 18inch ke alloy wheels offer kiye jaate hai.

Citroen C5 Aircross me hume 12.3 inch TFT instrument cluster dekhne milta hai. Iss car me 8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto bhi offer kiya jaata hai. Additionally, iss car me hume panoramic sunroof, dual zone climate control, electric tailgate, push button start jaise other features bhi offer kiye jaate hai.

Citroen C5 Aircross Interior.jpeg

Citroen C5 Aircross SUV Safety Features-

Citroen C5 Aircross SUV me hume driver and passenger airbags, ESP, hill decent control, hill start assist, traction control, electric parking brake, front and rear parking sensors, and reverse camera jaise safety features offer kiye gaye hai.

Citroen C5 Aircross Side Profile.jpeg

Citroen C5 Aircross Engine-

Citroen C5 Aircross India me 2.0-litre, DW10FC diesel engine ke saath available hoga. Ye engine 177 PS power and 400 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 8 speed automatic transmission ke saath combine kiya jayega. In future hum iss car me petrol engine ka option bhi dekh sakenge.

Citroen C5 Aircross SUV.jpeg

Citroen C5 Aircross ko two variants me offer kiya jaayega – Feel and Shine. Iss car me 4 body colour options milte hai – Pearl White, Cumlus Grey, Tijuca Blue and Perla Nera Black. Ye car Indian market me compete karegi with Jeep Compass, Tata Harrier and MG Hector. Iss car ki pricing around Rs 18-24 lakhs ho sakti hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram