Exclusive – Renault Kiger Delivery Begins, First Customer to be Delivered Kiger RXZ Variant

Exclusive – Renault Kiger Delivery Begins, First Customer to be Delivered Kiger RXZ Variant – Renault ne January 2021 me apne new sub-compact SUV Kiger ka global premier kiya tha aur mid-Feb me iss car ko launch kiya with starting price of Rs 5.45 lakhs (ex-showroom). Renault ne kuch dino pehle announce kiya tha ki who Kiger ki delivery ko 3rd March 2021 se commence karega. Renault ne aaj, India me Kiger ki deliveries ko start karte hue apne first customer ko Kiger deliver kar diya hai.

Exclusive – Renault Kiger Delivery Begins, First Customer to be Delivered Kiger RXZ Variant-

Renault Kiger Delivery Images

Renault Kiger Deliveries Commences in India-

Renault Kiger ne aaj apne pehle customer ko Kiger RXZ variant deliver kar diya hai. Kiger ki first delivery Gurugram ke NCR Motors ke through hui hai aur iss car ko Mr. Ranjan Sharma ko deliver kiya gaya hai. Ye vehicle non-turbo model hai jisme AMT transmission offer kiya gaya hai. Renault Kiger ko four varaints me offer kiya jaata hai – RXE, RXL, RXT and RXZ. Iss car ki pricing Rs 5.45 lakhs to Rs 9.55 lakhs (ex-showroom) hai.

Renault Kiger Delivery Commences

Renault Kiger-

Renault Kiger ko CMF-A platform pe built kiya gaya hai. Renault Kiger me hume split LED headlamps with LED DRLs, front grille, dual tonne alloy wheels, LED tail lamps, and sunroof jaise features dekhne milta hai. Interior me hume, 8 inch touch screen infotainment system with Apple Carplay and Android Auto, 7 inch digital instrument cluster, automatic climate control, steering wheel with mounted controls, push button start, etc. jaise features dekhne milta hai.

Renault Kiger hume only petrol engine me offer hota hai. Iss car me hume 1.0-litre naturally aspired petrol engine dekhne milta hai jo 71 HP aur 96 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual and AMT gearbox ke saath combine kiya jata hai. Renualt Kiger me hume 1.0-litre turbocharged petrol engine ka option bhi milta hai jo 100 HP aur 160 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 5 speed manual aur 6 speed automatic CVT transmission milta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram