Ford EcoSport with Turbo Petrol Engine Spotted Testing – Ford EcoSport one of the oldest contenders hai in sub-4 meter compact SUV segment. Iss vehicle ko 2013 me launch kiya gaya tha aur 2017 me mild facelift mila tha. Ford EcoSport time ke saath outdate ho rahi hai aur Ford jald hee 2nd gen EcoSport pe work karna shuru karega. Recenlty, hume EcoSport ke spy images dekhne mile hai jisme hum shayad turbo petrol engine dekhne mil sakta hai.
Ford EcoSport with Turbo Petrol Engine Spotted Testing-
Ford EcoSport Turbo Petrol Variant-
Recetly, hume Ford EcoSport ke two vehicles ke spy images dekhne mila hai jahan inn vehicles me hume 1.2-litre turbo petrol engine mil sakta hai. Ye turbo petrol engine Mahindra ka mStallion turbo petrol engine ho sakta hai jisse XUV300 me offer kiya jaata hai. Ye 1.2-litre turbo petrol engine 130 HP and 230 Nm torque produce karti hai. Iss engine me hume 6 speed manual and AMT transmission ka offer mil jaata hai. Currently, Ford EcoSport me hume 1.5-litre petrol engine jo 122 PS power and 149 Nm torque produce karti hai offer kiya jaata hai. Hume 1.5-litre diesel engine bhi offer kiya jaata hai jo 100 PS power and 215 Nm torque produe karti hai.
Ford EcoSport Features and Other Details-
Ford EcoSport ke mild facelift ke baad iss car me hume black matte front grille with honeycomb mesh, HID headlamps, LED DRLs, fog lamps, roof rails, electric sunroof and 16 inch alloy wheels offer kiye jaate hai. Iss car ke interior me hume 9 inch floating touchscreen infotainment system with connected Apple CarPlay and Android Auto, voice recognition, full fabric seats, cruise control, rear view camera, push button start/stop, auto headlamps and rain sensing wipers offer kiye jaate hai. Iss car ke safety features ki baat kare toh hume front dual airbags, ABS with EBD, EBS, ESC, TCA etc. jaise safety features offer kiye jaate hai.
Ford EcoSport ki current pricing Rs 7.99 lakhs to 11.49 lakhs (ex-showroom) hai.
Source – IndianAuto.com
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.