Ford Equator SUV Spotted in China Ahead of Launch

Ford Equator SUV Spotted in China Ahead of Launch – Ford Equator ek 3-row SUV vehicle hai jisse Ford and China based Jiangling Motors Corporation (JMC) ne develop kiya hai. Ye SUV ko Ford Everest (known as Endeavour in Indian Market) ke above place kiya jayega. Ford Equator ko Chinese market me jald hee launch kiya jaane wala hai, aur hume launch ke pehle iss car ke spy images dekhne mile hai.

Ford Equator SUV Spotted in China Ahead of Launch-

Ford Equator SUV Spotted in China Ahead of Launch

Ford Equator Details-

Ford Equator SUV me hume massive front grille, vertically split headlamps with LED projectors, LED DRLs and turn indicators dekhne milte hai. Iss car ke rear me hume large single piece tailgate with LED tail lights bhi dekhne milte hai. Equator me hume typical SUV elements like, silver finished skid plates at front and rear, roof rails, large wheel arches and black body cladding bhi dikh jaate hai.

Ford Equator SUV Side Profile

Ford Equator ki interior ki baat kare toh hume iss car me joint housing for digital instrument cluster and infotainment system dekhne milta hai. Iss car me hume dual screen setup dekhne milta hai jo hume next-gen Mahindra XUV 500 me bhi dekhne milega. Iske alawa hume dual-tonne theme, leather seats upholstery and lots of other features bhi dekhne milte hai.

Ford Equator Engine-

Ford Equator SUV me hume 2.0-litre EcoBoost petrol engine dekhne mil sakta hai jo 224 PS max power generate karta hai. Iss engine ko manual and automatic transmission ke saath offer kiya jaayega. Iss car me rear wheel drive and four wheel drive ka option bhi diya jaayega.

Chinese market me Ford Equator SUV compete karegi with Jeep Grand Commander, Toyota Highlander, Hyundai Palisade and Chevrolet Tahoe. Ford Equator ka India launch ke possibility bare minimum hai. However, 2022 me Ford apne C-SUV ko launch karega jo based hogi on the next-gent Mahindra XUV 500.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram