Honda CB500X to be launched in India in April

Honda CB500X to be launched in India in April – Honda 2 Wheelers ne recent times me Indian market me two new motorcycles ko launch kiye – CB350 and CB350RS. H’ness CB350 ne kafi accha response attain kiya aur large numbers me sell hua hai. Honda ne CB series me ek aur addition ki – CB350RS jisse recently launch kiya tha aur first impression se ye bike kafi promising lagti hai. Honda 2 Wheelers ke line-up me sirf ek ADV motorcycle hai woh hai Africa Twin. Indian market me mid-capacity ADV motorcycles ki demand kafi zyada hai. Honda iss segment me compete karne ke liye apni CB500X motorcycle ko jald hee launch karne wala hai.

Honda CB500X to be launched in India in April-

Honda CB500X Black

Honda CB500X Details-

Honda CB500X ek mid-capacity adventure motorcycle hai jisse international markets me sell kiya jaata hai. Honda CB500X ko 2013 me unveil kiya gaya tha aur iss bike ko Japanese, US and European market me sell kiya jaata hai. Iss bike ka design Honda ki premium ADV, Africa Twin se inspired hai. CB500X me hume tall windscreen, alloy wheels, full LED lighting, negative display LCD instrument cluster, adjustable long travel suspension and body graphics offer hote hai.

Honda CB500X me hume 41mm front forks, rear adjustable monoshock, 310mm front disc, 240mm rear disc and 17-litre fuel tank milte hai.

Honda CB500X Rear

Honda CB500X Engine Details-

Honda CB500X me hume 471cc, twin-cylinder, liquid cooled engine dekhne milta hai jo 47 PS power and 43 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 speed gearbox ke saath combine kiya hai aur isme assist and slipper clutch bhi provide kiya jaata hai.

CB500X me hume dual-channel ABS as standard offer hota hai. Iss bike pe 110/80/19 ke front and 160/60/17 ke rear tyres offer hote hai jo superior grip provide karte hai.

Honda ke taraf se koi bhi official announcement nahi hai ki ye bike kab launch hogi, par hum expect karte hai ki iss bike ka launch around mid-April ho.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram