Honda CBR150R Re-Launch on the Cards | Patent Filed in India

Honda CBR150R previously Indian market me sale par tha from 2012-2017. Honda CBR150R ne primarily compete kiya against the Yamaha R15, but due to high pricing,  CBR150R ke sales me kafi drop dekhne mila and eventually, Honda Motorcycles ne iss bike ko discontinue kar diya in 2017. Honda Motorcycles ne Indian market ke liye CBR150R ko discontinue kar diya, but ye motorcycle ko frequent updates ke saath Thailand, Indonesia and Malaysia me launch kiya jahan par ye motorcycle kafi popular hai. Media reports se ab pata chala hai ki Honda ne CBR150R ke design patents ko India me file kiya hai jo speculate karte hai ki iss motorcycle ko soon re-launch kiya jaa sakta hai.

Honda CBR150R Re-Launch on the Cards | Patent Filed in India

Honda CBR150R Patent Filed in India

Honda CBR150R Details

Honda CBR150R ko sporty design diya gaya hai. Iss bike ko city commute as well as track riding ke liye bhi use kiya jaa sakta hai. CBR150R me sharp nose, aerodynamic front panel milta hai jo inspired hai from CBR50R and CBR650R. Iss bike pe front dual LED headlamps, LED DRLs, compact windscreen, sporty rear view mirrors, sculpted fuel tank, clip on handlebars, fully digital instrument console, upswept exhaust jaise features mil jaate hai.

Honda CBR150R me golden-colored USD front forks and rear monoschock bhi offer kiye jaate hai. Iss bike ko diamond frame par built kiya gaya hai and 17-inch ke wheels diye jaate hai. CBR150R me front and rear disc brakes with dual-channel ABS bhi as standard offer kiya jaata hai.

2021 Honda CBR150R

Honda CBR150R Engine

Honda CBR150R me 149.2cc, liquid cooled, DOHC, single cylinder motor diya jaata hai jo 17.1 PS power and 14.4 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6-speed gearbox ke saath mate kiya jaata hai. Also, iss motorcycle pe slip and assist clutch bhi provide kiya jata hai jo easy shifting me help karta hai.

Honda 2 Wheelers ne CBR150R ke design patents ko India me file kar diya hai and hum jald iss bike ko Indian market me expect kar sakte hai. Honda CBR150R directly compete karegi with Yamaha R15 V4 jisne 150cc fully-faired segment ko capture kar liya hai.

Honda CBR150R Images

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram