Honda Hornet 2.0 Launched in India at Rs 1.26L

Honda Hornet 2.0 – Guys Honda ne Hornet 2.0 ko launch kar diya hai. Aaj isi ke bare me sabhi details Janege. Or kya ye bike aapko consider karni chahiye ya nahi ye sab bhi discus kar lete hai.

Honda Hornet 2.0 – 

2020 Honda Hornet 184cc ko aaj india me company ne ek new avtar me launch kiya hai. Bike ka look sporty hai or kai sare style elemets isme add kiye gaye hai. Vahi agar bat kare front face se to isme aapko LED headlamp milta hai.

Vahi niche GOLDEN USD fork diye gaye hai jo ki segment me first hai. Dual petal disc brakes mil jate hai. But yaha Single channel ABS milta hai. 276mm Disc ke sath vahi 220mm ka rear disc diya hua hai.

Honda Hornet 2.0

Side se dekhne pe ye ek sports city commuter ki tarah dikhai deti hai. Jisme kai sare portion fiber ke use kiye huye hai. Jo ke matte finish me hai. Vahi short exhaust ise sporty appeal deta hai. Vahi Grab rails jo hai vo body shape ko dhyan me rakhte hui di gai hai. Foor pegs ki position to bike chalane ke bad hi me aapko bata paunga.

Rear se bike dekhne pe kafi premium lagti hai iska wider 140mm ka tyre ise muscular look bhi deta hai. Vahi isme 110 section ka front tyre diya gaya hai. Jo ki Maxxis ka EXTRAXX tyre milta hai.

Honda Hornet 2.0 Specification – 

Hornet me company ne 184cc ka Air-cooled engine diya hai jo ko 17bhp ki power 8,500rpm or 16.1NM ka torque 6,000rpm pe milta hai. 5 speed ka manual transmission diya gaya hai. sath hi iska mid range performance kafi acha hone wala hai. Iska compression ration 9.5:1 rakha gaya hai.

Honda Hornet 2.0

Honda Hornet 2.0 Suspension – 

Front – USD Fork

Rear – Monoshock

Honda Hornet Dimension – 

Ground Clearance – 167mm
Fuel Tank Capacity – 12L
Kerb Weight – 142KG

Honda Hornet 2.0 Features – 

Honda Hornet 2.0 Me aapko split seat milti hai jo ki pics me kafi cushioning dikhai de rahi hai. Negative LCD unit milti hai jiski brightness aap adjust kar sakte hai. Gear positioning indicator, Battery Voltmeter and Service Due Indicator diya hua hai.

Honda Hornet 2.0 184cc

Honda Hornet 2.0 Price – 

Company ne ise 180cc-200cc segment me launch kiya hai. Or ise Rs. 1,26,345 Ex-Showroom price pe launch kiya hai.

Kya Bike ko purchase karna chahiye? –

Bike ko jin features ke sath launch kiya gaya hai. Or iske bare me jo Honda ne details provide kari hai. Usko dekhte huye ek bar Drive review karke hi me aapko bataunga ki kya ye iski price ko justify karti hai ya phir is budget me aapko koi or bike leleni chahiye.

Honda Hornet 2.0


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram