Hyundai AX1 Micro SUV Spotted Production Ready – Global Unveil in 2021

Hyundai AX1 Micro SUV Spotted Production-Ready – Global Unveil in 2021 – Hyundai Motors ne recent times me apne product portfolio ko update kiya hai. 2021 me Hyundai Alcazar SUV ko launch karega Indian and international market me. Isi time, Hyundai apni micro SUV AX1 ko bhi South Korea me continuously test kar raha hai. Recent times me hume iss micro SUV ke new spy images dekhne mile hai jahan ye vehicle production ready form me spot kiya gaya.

Hyundai AX1 Micro SUV Spotted Production Ready – Global Unveil in 2021-

Hyundai AX1 Micro SUV Spy Images

Hyundai AX1 Micro SUV Details-

Hyundai AX1 ko heavy disguise ke saath spot kiya gaya jisse hume iss car ki limited information available hai. Iss car ka front, Venue ke design se kafi resemble karta hai jahan hume front grille, two tier headlamp jaise elemnts dekhne milte hai. Iss car ko SUV stance diya gaya hai and other SUV elements like roof rails bhi present hai. Overall looks ki baat kare toh iss car ki design Venue se kafi zyada resemble karti hai. AX1 me hume newly designed dual-tone alloy wheels bhi dekhne mil sakta hai.

Iss car ke interior ki koi bhi spy shots available nahi hai par hum expect karte hai ki iss car me hume touchscreen infotainment system with conntected tech, digital instrument console, automatic ac, steering mounted controls, cruise control, sunroof, etc. jaise features offer ho.

Hyundai AX1 Spy Images

Hyundai AX1 Micro SUV Engine-

Hyundai AX1 me hume Hyundai Santro ki 1.2 – litre naturally aspired petrol engine dekhne mil sakta hai jo 68 BHP generate karta hai aur 99 Nm of torque. Ye engine 5 – speed manual aur 5 – speed AMT gearbox ke saath dekha jaa sakta hai. Iske alawa Hyundai iss car me 1.0-litre turbo petrol engine bhi offer kar sakta hai jisse Venue and i20 jaise vehicles me bhi offer kiya jaa sakta hai.

Hyundai AX1 Rear Spy Images

Hyundai AX1 ka global debut 2021 me ho sakta hai aur iss car ko first international markets me launch kiya jayega then in Indian market. Indian markets me micro SUV ki demand increase ho rahi hai aur Hyundai iss segment ko bhi dominate karne ke liye apni AX1 micro SUV ko jald hee launch karega.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram