Auto in Hinglish

Hyundai Creta 7-seater variant spied on Indian roads

Hyundai Creta 7-seater variant spied on Indian roads – Hyundai India ke product lineup me koi bhi 7 seater car nahi hai. Recently kafi reports aaye the ki Hyundai apni new 7 seater Creta pe kaam kar raha hai. Iss 7 seater Creta ko South Korea me kafi time spot kiya gaya tha. Recently iss car ko Indian roads par bhi spot kiya gaya hai.

Hyundai Creta 7-seater variant spied on Indian roads-

Hyundai Creta 7-seater spiedImage Credit – AutocarIndia

Hyundai Creta 7-seater Looks-

Hyundai Creta 7-seater ko unique name diya jayega. Iss car ki cost bhi regular, 5- seater Creta se zyada hogi. Iss car ke spy shots se hume kai saare information mil jaate hai. Iss car ka most significant change iski length me increase hai jisse 3rd row seats ko accommodate kiya gaya hai. Iss car ka front regular Creta jaise similar hai. Hume C-shaped LED headlamps, fog lmaps, cascading grille, faux skid plates dekhne mil jaate hai jise hum regular Creta me bhi dekh sakte hai. Rear me hume bigger wraparound LED tail lamps aur tweaked rear bumper bhi dekhne mil jata hai.

Hyundai Creta Front

 

 Hyundai Creta 7-seater Interior-

Hyundai Creta 7-seater ke interior regular Creta jaise hee honge. Iss car ke cabin me hume 2nd row me captain seats bhi dekhne mil sakta hai. Saath hi hume 10.25 inch touchscreen infotainment system with Apple Car Play and Android Auto, digital instrument cluster jaise features bhi dekhne mil sakte hai. Additionally, hume Bose speaker system, stability control, Tyre pressure monitoring system, traction control jaise features bhi dekhne mil sakte hai.

Hyundai Creta Interior

 

Hyundai Creta 7-seater Engine-

Hyundai Creta 7-seater ke engine me koi bhi changes nahi hoga. Iss car me hume same 1.5-litre naturally aspired petrol, 1.4-litre turbocharged petrol and 1.5-litre diesel engine ka option mil sakta hai.

Hyundai Creta

 

Hyundai Creta 7-seater ka launch hum end of 2021 me expect kar sakte hai. Iss car ki pricing INR 13 Lakhs se INR 19 Lakhs tak ho sakti hai. Ye car launch pe compete karegi Mahindra XUV 500, MG Hector Plus aur Tata Gravitas se.

 

 


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram