Hyundai Creta (E) Base Variant Details

Hyundai Creta (E) Base Variant Details – Hyudai Creta, Korean manufacturer ki one of the most successful vehicle hai. Iss car ko Indian me 2014 me launch kiya gaya tha aur recently Hyundai ne 2nd generation Creta ko launch kiya jissme hume major cosmetic and feature updates dekhne milte hai. Hyundai Creta 5 variants me offer kiye jaate hai – E, EX, S, SX, and SX(O). Aaj hum iss car ke base E variant ke baare me baat karenge.

Hyundai Creta (E) Base Variant Details-

Hyundai Creta E Variant Side Profile

Hyundai Creta (E) Base Variant Specifications-

Hyundai Creta E variant me hume simple design dekhne milta hai. Iss car me hume black and silver grille, LED DRLs with yellow headlamps, and grey colour faux skid plate dekhne milte hai. Iss variant me hume kahi bhi koi bhi chrome elements nahi milte. Ye variant roof rails and shark fin antenna bhi miss karti hai. Rear me hume black spoiler dekhne milta hai.

Iss variant ka interior bhi kafi dull hai. Hume, dual tonne dashboard, manual ac, analogue instrument cluster with MID, electrically foldable OVRMs, rear ac vents jaise features dekhne milte hai. Iss variant me 16 inch steel wheel with wheel caps dekhne milte hai.

Safety features ki baat kare toh iss variant me hume dual front airbags, reverse parking sensor, high speed sensor, ABS with EBD, lane change indicator, and cental locking jaise features offer kiye jaate hai.

Iss variant me hume koi bhi infotainment system nahi milta hai.

Hyundai Creta E Variant Interior

Hyundai Creta (E) Base Variant Engine-

Hyundai Creta E variant me hume 1.5-litre MPI petrol and 1.5-litre CRDi diesel engine ka option milta hai. Petrol engine ki baat kare toh isme hume 1497cc, petrol engine dekhne milta hai jo 115 PS power and 144 Nm torque produce karti hai. Iss variant me offer hone wale diesel engine ki baat kare toh hume 1493 cc, diesel engine dekhne milta hai jo 115 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Dono hi engines ko 6 speed manual gearbox ke saath combine kiya gaya hai.

Hyundai Creta Images

Hyundai Creta E variant ka pricing Rs 9.81 lakhs for petrol engine and Rs 9.99 lakhs for diesel engine hai (pricing, ex-showroom).


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram