Hyundai i20 Asta (O) Variant Details

Hyundai i20 Asta (O) Variant Details – Hyundai ne 3rd generation premium hatchback i20 ko Indian market me November 2020 me launch kiya. Iss car ko festive season me launch karne se 25,000 se zyada bookings record hue the. Iss car ke 85 per cent se zyada booking top-spec trims ke the. Aaj hum iss car ke top-spec variant, Asta (O) ke baare me baat karenge.

Hyundai i20 Asta (O) Variant Details-

Hyundai i20 Front

Hyundai i20 Asta (O) Features –

All-new Hyundai i20 ko sharper aur distinctive styling ke saath launch kiya hai. Iss car ke exterior aur interior me kafi changes kiye gaye hai. Iss car ko four variants me launch kiya gaya hai – Magna, Sportz, Asta and Asta (O). Hyundai i20 ka Asta (O) variant sabse top spec variant hai. Ye variant kai saare features ke saath loaded hai. Iss variant me hum 6 airbags, TPMS, ABS, EBD, ESP, and Hill hold control jaise safety features dekh sakte hai.

Iss car me hume reverse parking camera with rear parking sensor, cruise control and keyless start stop jaise comfort features bhi dekhne mil jaate hai. Lighting ki baat kare toh hume iss variant me LED projector headlmaps with LED DRLs, puddle lamps, fog lamps and LED tail lamps dekhne mil jaate hai.

Instrumentation ki baat kare toh hume 8 inch touch screen infotainment system with Apple CarPlay and Andriod Auto, digital instrument cluster and steering mounted controls dekhne mil jaate hai. Hyundia i20 ke Asta (O) variant me panoramic sunroof aur 16 inch diamond cut alloy wheels bhi feature karte hai.

Hyundai i20 Front

Hyundai i20 Asta (O) Engine Options-

Hyundai i20 Asta (O) variant me three engine options milta hai – 1.2 litre kappa petrol, 1.0-litre turbo GDi petrol and 1.5-litre U2 diesel. 1.2-litre kappa petrol engine 82 HP aur 115 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 5 speed manual transmission milta hai. 1.0-litre turbo GDi petrol engine 118 HP aur 172 Nm torque produce karti hai.

Ye engine 7 speed DCT gearbox ke saath available hai. 1.5-litre U2 diesel engine 99 HP aur 240 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 6 speed manual gearbox ke saath combine kiya hai.

Hyundai i20 Front

Hyundia i20 Asta (O) Pricing-

Hyundai i20 ki price Rs 6.79 lakhs to 11.32 lakhs (ex-showroom) hai. Asta (O) 1.2 litre kappa petrol variant ki pricing Rs 9.21 lakhs (ex-showroom), 1.0-litre turbo GDi variant ki pricing Rs 11.19 lakhs (ex-showroom) aur 1.5-litre U2 diesel variant ki pricing Rs 10.61 lakhs (ex-showroom) hai.

Hyundai i20 Front


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram