Hyundai iMT Explained Two Paddle Clutch Less Technology

Hyundai iMT Explained Two Paddle Clutch Less Technology – Guys, Hyundai Venue iMT India me launch hone wali hai July me. And Usme ye jo iMT Technology hai ye kese kam karti he. Aaj apn yahi samjhne wale he. Ise Two Paddles Clutchless manual transmission bhi kaha jata hai.

Hyundai iMT Explained Two Paddle Clutch Less Technology

Hyundai iMT Technology – 

Jesa ki aap sabhi jante hai. Ki Manual gearbox wali gadi me 3 paddles hote he. Jisme ek clutch dusra brake or teesra accelerator hota hai. But iMT me sirf Brake or Accelerator paddle milenge. And jo gear stick he vo same manual gearbox jesi milegi. Ab aap soch rahe honge ki clutch hi nahi hoga to gear change kese karenge. To aapko batadu ki clutch jo he vo ek sensor ke through control hoga.

Aap jese hi gear change karene lagege intension sensor transmission control unit ko signal dega. And phir transmission control unit hydraulic actuator ko engage karega hydraulic pressure ki madad se. Or hydraulic pressure concentric slave tube tak jayega clutch tube ki madad se. Or concentric slave cylinder is pressure ko pressure plate or clutch ko control karne me use leti hai.

Or yahi vajah he driver bina kisi mechanical clutch ko use kare seamless performance experience kar sakta he.

Hyundai iMT Explained in hindi

Cost of iMT Gearbox –

India me aapne kai sare automatic transmission use kiye he. Sabse pahle bat kare AMT (Automatic Manual Transmission) ki to vo manual gearbox se 50-60k costly padta he he uske bad Torque Converter and CVT 1 – 1.25 Lakhs tak costly hote he. and last me DSG / DCT jo ki 1.5Lakh tak jyada costly hote he. But ab bat kare agar iMT ki to isme aapko sirf 25-35k jyada dene honge.

Mileage in iMT gearbox – 

Guys ye basically ek manual gearbox hi he to mileage iski normal manual gearbox jitni hi hogi. Or baki aapke chalane pe depend karta hai aap kese use kar rahe he. jyada rpm pe engine ko rev to nahi kar rahe he and bahut se bate kam karti he mileage ke piche.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram