Hyundai Motors Completes 25 Years in the Indian Market – Korean car manufacturer, Hyundai Motors ne apne step Indian market me rakhe in 1996. Over the years, Hyundai Motors ne Indian market me kai saare cars launch kiye and kafi successful rahe hai. Hyundai motors ne 2021 tak over 90 lakh vehicles manufacture kare from their plant in Tamil Nadu. Aaj, Hyundai Motors India ne statement release karke kaha hai unhone India me 25 years complete kar diye hai.
Hyundai Motors Completes 25 Years in the Indian Market-
Hyundai Motors India Milestone-
Hyundai Motors, Indian market me kafi famous and successful car manufactures me se ek hai. Hyundai Motors, India me vehicles ki largest exporter bhi hai. Hyundai ne apne Indian market ke operations ko 1996 me start kiya tha aur unki pehli vehicle Santro thi. Hyundai Santro apne tall-boy stance ke liye kafi famous tha aur iss car ne kafi accha sales record kiya. Hyundai ne further apni portfolio ko expand karte hue i10, i20, Verna and Venue jaise vehicles ko India me manufacture and sell karne laga. Hyundai ki Creta SUV, India ki most selling and demanded SUV hai. Domestic sales ke saath saath, Hyundai apni vehicles ko over 88 countries me export bhi karta hai. Currently, Hyundai Motors ke India line-up me 11 car models hai – SANTRO, GRAND i10, GRAND i10 NIOS, all-new i20, AURA, VENUE, Spirited New VERNA, All New CRETA, ELANTRA, New 2020 TUCSON & KONA Electric.
About Hyundai Motors-
Hyundai Motors apne vehicles ko various varaints aur powertrain ke saath offer karta hai taki ko maxium consumers ke meet ko fulfill kare. Hyundai currently apne new Creata 7-seater variant pe work kar raha hai jo hume 2021 end tak dekhne milega. Isi ke saath, Hyundai ek new MPV vehicle pe bhi work kar raha hai jo India me jald hee launch hoga.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.