Auto in Hinglish

ISOFIX Child Seat Mount – Things You Need to Know

ISOFIX Child Seat Mount – Things You Need to Know – Modern cars ka one of the standard and essential safety feature hain ISOFIX child seat mounts, iss feature ko invent kiya gaya tha saal 1997 mein automobiles and especially cars mein child safety ki importance ko dhyaan mein rakhte hue and iss feature ko as a standard compulsory safety feature announce kardia gaya tha 2006 mein. toh aap sab hee ne suna toh hoga ISOFIX child seat mounts ke baare and aapki gaadi mein bhi yeh mount hoga for sure but kaise use kiya jaaye and exactly whats ISOFIX child seat mount woh sab aapko hum bataenge.

ISOFIX Child Seat Mount – Things You Need to Know-

ISOFIX Child Mount

What’s ISOFIX Child Mount?-

ISOFIX child seat mount basically child seat fix karne ke liye locks diye hote hain car ki seats par and usually different cars ki seats different sizes and shapes ki hoti hain jisse ek normal car child seat sab car seats par fix hona difficult hota hain also child seats manufacture karne waale brands bhi different seats banate hain agar design ki baat kari jaaye toh, So kaise fix kari jaaye different child seats different cars mein, uska jawab hain ISOFIX child seat mounts.

ISOFIX child seat mounts ek easy and safe way out hain to fix child seats in cars, child seats chahe kaise bhi design ki ho but saare manufacturers waise hee connectors dete hain jo standard ISOFIX mounts mein easily attach ho jaaye.

ISOFIX Child Mount Safety Feature

How ISOFIX Mounts Work?-

ISOFIX child seat mounts mein basically metal clips attach ki jaati hain gaadi ki seats mein jaha seatbelts ke anchorages hote hain and wahi hote hain ISOFIX seat mounts, inn metal clips mein ISOFIX child seats jo hoti hain anti-rolling, anti-tipping uske connectors lock ho jaate hain perfect fit ke saath jisse child seats even on bumps and sudden braking hilti nahi hain apni jagah se jisse uss child seat mein baitha child secure rehta hain shocks se.

ISOFIX Child Mount Feature in Cars

Importance of ISOFIX Child Mount-

India mein mostly parents apni baccho ko apne arms mein and woh bhi front seats par hold karke baithte hain jo ki technically highly unsafe hain during accidents human arms save nahi kar sakti small babies ko sudden impact se, toh iss higly unsafe practice ko hum sab hee avoid karna chaiye and small toddlers ke liye child safety seats use karni chaiye with ISOFIX connectors jo during accident bhi rear seat par children ko shock se save karti hain.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram