Jeep Compass 7-Seater Launch in India in 2021

Jeep Compass 7-Seater Launch in India in 2021 – American car manufacturer Jeep, India me only Compass SUV ko sub 20 lakh ke segment me offer karta hai. Jeep, Fiat group ka subsidy jisne 2017 me Compass ka production apne Pune facility me start kiya tha. Jeep ke liye India ek important market hai. Currently, Jeep ke Indian market me diversity lack karta hai. Jeep ne announce kiya tha ki woh Indian market ke liye new products ko introduce karne wala hai jo hai sub-4-meter SUV and 7-seater Compass.

Jeep Compass 7-Seater Launch in India in 2021-

Jeep Compass 7-Seater Rendered

Jeep Compass 7-Seater SUV Details-

Jeep Compass based 7-seater SUV ko humne International roads par test hote hue kai baar dekha hai. Ye SUV, jald he international markets me launch hogi aur fir Indian market me. Souces ke according hume pata chala hai ki iss 7-seater SUV ko hume ek different design and different nameplate ke saath dekhne milega. Ye SUV regular Compass se longer and taller hogi. Iss SUV ke wheelbase me bhi significant increase hoga jisse 3rd row seats ko easily accommodate kiya jaa sakta hai. Jeep ki upcoming 7-seater SUV me hume same platform dekhne mil sakta hai jo hume Compass me dekha hai.

Jeep Compass 7-Seater Rendered Images

 Jeep Compass 7-Seater Engine-

Jeep Compass 7-Seater me hum same engine configuration expect kar sakte hai jo hum regular Compass me dekhte hai. Iss car me hum 2.0-litre diesel engine dekh sakte hai jo 173 PS power aur 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Diesel engine ke alawa iss car me hum 1.4-litre turbocharged petrol engine bhi expect karte hai jo 163 PS power aut 250 Nm torque produce karta hai. Iss enignem hume 6 speed manual aur 7 speed DCT gearbox dekhne mil sakta hai.

Jeep Compass 7-Seater SUV ko ek premium price tag ke saath offer kiya jaa sakta hai. Iss car ki pricing Rs 30-35 Lakhs tak ho sakti hai. Ye car compete karegi with Toyota Fortuner, Ford Endeavour and Mahindra Alturas G4.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram