Jeep Compass facelift to be launched on 27th January 2021 in India – Jeep Compass facelift version ka global debut 2020 Guangzhou International Motor Show, China me kiya gaya tha. Global unveil ke baad, Jeep Compass facelift ko India me 14th January 2021 ko unveil kiya gaya.
2021 Jeep Comapass facelift model me hume kafi exterior and interior changes dekhne mil jaate hai. Jeep ne aaj announce kiya ki woh Comapss facelift ko India me 27th January 2021 ko launch karega aur saath hi iss car ki pricing bhi announce karega.
Jeep Compass facelift to be launched on 27th January 2021 in India-
Jeep Compass Facelift Details-
2021 Jeep Compass facelift me hume, new sleeker headlamps, 7 slat grille, revised bumper, new faux skid plates, and new alloy wheels dekhne milte hai. Iss car ke interior me hume new 10.1 inch touchscreen infotainment system with connected tech, digital instrument cluster and panoramic sunroof jaise features dekhne milte hai.
Jeep Compass Engine-
Jeep Compass ke engine me hume koi changes nahi dekhne milta hai. Iss car me hume same 2.0-litre diesel and 1.4-litre turbocharged petrol engine ka option mil jaata hai. Diesel engine 173 PS power and 350 Nm torque produce karti hai and petrol engine 163 PS power and 250 Nm torque produce karti hai. Dono engines me hume 6 speed manual transmission mil jaata hai and additionally, petrol engine me hume 7 speed DCT gearbox bhi dekhne milta hai.
2021 Jeep Compass ke pre-bookings bhi start ho gayi hai aur customers iss car ko Jeep ki official website ya dealerships ke through pre-book kar sakte hai. Jeep Compass facelift ke launch ke baad iss car ke pricing me hike dekhne mil sakta hai. Jeep apne new 7-seater Compass pe bhe kaam kar raha hai jo hume end of 2021 me dekhne mil sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.