Jeep Compass Facelift to launch on 23rd January 2021 – 2017 me Jeep ne Indian market me entry karte hue Jeep Compass ko launch kiya tha. Ye gaadi ne Indian market me kafi accha perform kiya. 2020 Guangzhou International Motor Show, China me Jeep ne 2021 Jeep Compass ko unveil. Reports se hume ye pata chalta hai ki Jeep Compass ka facelift India me 23rd January 2021 ko launch hoga.
Jeep Compass Facelift to launch on 23rd January 2021-
2021 Jeep Compass Facelift Design (Looks)-
2021 Jeep Compass ke exterior me hume changes dekhne milte hai. Iss car ke headlamp ko tweak kiya gaya hai inka design ab sharper hai. Headlamps pe hume integrated LED DRLs bhi dekhne mil jaate hai. Iss car ke 7 slat grille pe hume honeycomb mesh ka pattern dekhne milta hai. Iss car me hume revised bumper, new faux skid plates aur newly designed alloy wheels bhi dekhne mil jaate hai.
2021 Jeep Compass Interior-
2021 Jeep Compass ke interior me bhi hume changes dekhne mil jaate hai. Iss car me ab new 10.1 inch floating touchscreen infotainment system dekhne mil jaata hai jo wireless Apple Carplay aur Android Auto ko support karta hai. Saath hi hume digital instrument cluster, sleeker ac vents aur panoramic sunroof jaise features bhi dekhne mil jaate hai.
2021 Jeep Compass Engine-
2021 Jeep Compass me hume same engine dekhne milega jo humne previous model me dekha tha. Iss car me hume 2.0-litre diesel engine mil jaata hai jo 173 PS power aur 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Diesel engine ke alawa iss car me hume 1.4-litre turbocharged petrol engine bhi mil jaata hai jo 163 PS power aut 250 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 6 speed manual aur 7 speed DCT gearbox mil jaata hai.
Jeep Compass me facelift ke update ke baad hum iss car ke prices me hike expect kar sakte hai. Ye car Indian market me Hyundai Tuscon, Skoda Karoq, MG Hector aur Tata Harrier ke saath compete karti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.