Jeep Patriot Name Trademarked in India – Likely to be Compass Based 7 Seater SUV – Jeep ne Indian market me apna presence, Compass jaise vehicles ke through kafi strong kar diya hai. Jeep Compass ne Indian market me kafi acche numbers me sell hua hai aur recently iss SUV ko much needed facelift update bhi diya gaya. Jeep me apne iconic Wranger SUV ko bhi locally assemble karna start kiya hai jisse iss SUV ke prices ko lower kiya jaa sakta hai. Jeep ne Indian market ko important market consider kiya hai aur aane wale time me aur products bhi offer karenge.
Jeep Patriot Name Trademarked in India – Likely to be Compass Based 7 Seater SUV-
Jeep Patriot Name Trademarked-
Jeep apne Compass based 7-seater SUV ko extensively test kar raha hai in various conditions. Iss car ke kai saare spy shots dekhne mile hai jahan iss vehicle ko kai hard conditions me test kiya jaa raha hai. Currently, Indian market me 6/7 seater SUV ka trend kafi zyada popular hua hai aur manufacturers iss segment ko apne vehicles ko introduce karna chahte hai. Jeep ne recently Patriot name ka trademark file kiya hai India me jo hume hint deti hai ki ye name Jeep apne 7-seater Compass SUV ko de sakta hai. Earlier, ye speculate hua tha ki iss 7-seater SUV ko Grand Compass ka name diya jaa sakta hai. Jeep ne ab tak apne 7-seater SUV ke regarding koi bhi official announcement nahi kiya hai.
Image Source – Rushlane
Jeep Compass 7-Seater SUV Details-
Jeep Compass based 7-seater SUV ko jald he international markets me launch hogi aur fir Indian market me. Souces ke according hume pata chala hai ki iss 7-seater SUV ko hume ek different design and different nameplate ke saath dekhne milega. Ye SUV regular Compass se longer and taller hogi. Iss SUV ke wheelbase me bhi significant increase hoga jisse 3rd row seats ko easily accommodate kiya jaa sakta hai. Jeep Compass 7-Seater me hum same engine configuration expect kar sakte hai jo hum regular Compass me dekhte hai. Iss car me hum 2.0-litre diesel engine dekh sakte hai jo 173 PS power aur 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Diesel engine ke alawa iss car me hum 1.4-litre turbocharged petrol engine bhi expect karte hai jo 163 PS power aut 250 Nm torque produce karta hai. Iss enignem hume 6 speed manual aur 7 speed DCT gearbox dekhne mil sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.