Kawasaki Z H2 and Z H2 SE Launched in India – Kawasaki India ne recent times me superbikes category me kafi accha perform kiya hai. Kawasaki ki Z series motorcycle kafi popular hai aur iss bike ke sales number iss bike ke popularity ko reflect karti hai. Kawasaki ne 2019 Tokyo Motor Show me Kawasaki Z H2 ka debut kiya tha. 2021 ko start karte hue, Kawasaki ne Z H2 and Z H2 SE motorycles ko India me launch kar diya hai.
Kawasaki Z H2 and Z H2 SE Launched in India-
Kawasaki Z H2 & Z H2 SE Engine-
Kawasaki Z H2 based hai Kawasaki ki flagship motorcycle, Ninja H2 pe. Iss bike pe hume 998cc, inline four cylinder, liquid cooled engine dekhne mil jaata hai jo 200 PS power aur 137 Nm torque generate karta hai. Iss bike pe hume SHOWA SFF-BP front forks and SHOWA rear monoshock dekhne milta hai. Iss bike ko trellis frame par built kiya gaya hai. Z H2 SE model me hume KECS – Kawasaki Electronic Control Suspension feature bhi mil jaata hai.
Kawasaki Z H2 Specifiations-
Kawasaki Z H2 and Z H2 SE ko SUGOMI design ke basis pe build kiya gaya hai. Iss bike pe hume all-LED lighting, 4.3 inch TFT instrument console with smartphone connectivity and electronic cruise control jaise features dekhne mil jaate hai. Iss bike me hume kai saare other electronic features bhi dekhne mil jaate hai jaise, integrated riding modes, Kawasaki traction control, Kawasaki cornering management function, ABS, launch control and quick shifter.
Kawasaki Z H2 ki pricing Rs 21.90 lakh (ex-showrrom) aur Z H2 SE ki pricing Rs 25.90 lakh (ex-showroom) hai. Dono hi bikes made to order par available hogi.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.