Kia Motors ne Indian market me entry kiya with compact-SUV Seltos. Kia Seltos, brand ki one of the popular vehicle hai jisne over the time kafi acche sales number achieve kiya hai. Kia Motors ke Indian portfolio me sub-4 meter SUV, Sonnet and luxury MPV, Carnival bhi. Kia apne 7-seater vehicle ko aggressively India me test kar raha tha aur iss car ko finally Carens ka nameplate diya gaya hai. Kia Carens ka India debut, December 16 ke liye scheduled hai.
Kia Carens 7-Seater MPV India Debut on December 16
Kia Carens 7-Seater MPV Details
Kia Carens ke spy images hume dekhne mile hai previously, jahan iss car ko Indian roads par heavy camouflage ke saath spot kiya gaya tha. Kia Motors ne iss car ke teaser ko drop kiya hai jo iss car ke thode information hume batata hai. Kia Carens based hai Kia Setos pe aur iss car ki wheelbase Seltos se zyada hai. Carens ki dimesion Seltos se thode zyada ho sakti hai in order to accommodate the 3rd row seating. Iske alawa teaser me new LED DRLs, chrome surround near the tiger-nose grille, newly designed front grille, new sporty LED taillamps and signature pattern new Kia logo dekhne milta hai.
Iss car me digital instrument cluster, large touchscreen infotainment system with connected tech, panoramic sunroof jaise features bhi offer hote hai.
Kia Carens Engine
Kia Carens me same engine offer kiya jaa sakta hai jo Kia Seltos me diya jaata hai. Iss car me 2 petrol engine and one diesel engine offer kiya jaa sakta hai. Petrol engine me hume turbo-petrol variant with DCT gearbox bhi offer kiya jaa sakta hai.
Kia Carens ka launch 2022 me expect kar sakte hai. Ye car compete karegi with Hyundal Alacazar, Mahindra XUV700 and Tata Safari se.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.