Kia ne Indian market me apna entry Seltos ke saath kiya jo kafi successful raha hai. Kia Seltos and Hyundai Creata ne every month sales numbers me tough competition dekha hai aur mid-size SUV segment ko dominate kiya hai. Recent times me Indian market me 7-seater SUV segment me kai saare vehicle launch hue hai aur ab Kia Motors bhi iss segment ko apne Kia Carens SUV ko introduce kar sakta hai.
Kia Carens to Make Global Premier on December 16
Kia Carens SUV Details
Kia Carens name ko recently trademark kiya gaya tha and most probably, ye car Indian market me Kia ki next product ho sakti hai. Internally, iss car ko KY codename kiya gaya hai aur iss car ke test mules ko Indian roads par camouflage me spot bhi kiya gaya hai. Kia ne recently iss car ke teaser ko share karte hue kaha hai ki, iska global premier December 16 ko hoga. Global markets ke saath isse India me bhi launch kiya jaayega.
Kia Carens ko same platform par build kiya jaayega jispe Hyundai Alacazar ko manufacture kiya gaya hai. Iss car me tall pillars, spacious cabin, long wheelbase, larger boot offer ho sakta hai. Iss car ke interior me 10.25 inch touchscreen infotainment system bhi offer ho sakta hai with Android Auto and Apple CarPlay connectivity.
Kia Carens Engine Details
Kia Carens me same engine configuration offer ho sakta hai jo Kia Seltos me bhi offer hota hai. Iss car me 1.5-litre four cylinder petrol and 1.5-litre four cylinder diesel engine offer ho sakta hai. Petrol engine 115 PS power and 144 Nm torque produce karta hai while diesel engine 115 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Dono engines ke saath manual and automatic transmission offer ho sakta hai.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.