Kia Carens – Top 5 Features

Kia Carens, Kia Motors ki latest and overall 4th offering hai in the Indian market. Kia Carens, ko Kia Motors ne MPV ka tag diya hai although ye car ke design and looks SUV se resemble karte hai. Kia Carens ko Seltos ke above place kiya jaayega and iss car me 3rd road seating offer kiye jaa rahe hai. Aaj hum baat karenge Kia Carens ke Top 5 Features

Kia Carens – Top 5 Features

All New KIA Carens

Design

Kia Carens ko sporty and edgy exterior design ke saath dekha jaa sakta hai. Iss car me vertically split LED headlamps, LED taillights, sporty front and rear bumper, roof rails, dual tonne 16 inch crystal cut alloy wheels, jaise elements dekhne mil jaate hai. Iss car ke dimensions 4540mm x 1800mm x 1700mm hai. Carens ka wheelbase 2780mm hai.

New Carens

Safety and Features

Kia Carens is like any other Kia vehicle which is loaded with features. Kia Carens me 26.03 Cm (10.25”) HD Touchscreen Navigation with Next Generation Kia Connect, BOSE Premium Sound System with 8 speakers Cabin Surround,  64 colour Ambient Mood Lighting,  Smart Pure Air Purifier with Virus and Bacteria Protection, Hi-Secure Safety Standard Package – (6 Airbags, ESC+VSM+HAC+DBC+ABS+BAS,All Wheel Disc Brakes Standard across all trims), Ventilated Front Seats, Multi Drive Modes (Sport/Eco/Normal) linked with Ambient Mood Lighting, 2nd Row Seat “One Touch Easy Electric Tumble”, SkyLight Sunroof, Large Cabin Space led by Longest Wheelbase in the class jaise features offer hote hai.

Carens Interior

Engine Options

Kia Carens me same engine options offer kiya jaata hai as that in Seltos. Iss car me 3 engine options mil jaata hai. First, 1.5 – litre NA petrol jo 115 PS power and 144 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 – speed manual transmission ke saath combine kiya jaata hai. Second, 1.4 – litre turbo- petrol engine jo 140 PS power and 242 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed MT and 7 speed DCT gearbox ka option mil jaata hai. Third, 1.5 – litre turbo diesel engine jo 115 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss engine ke saath 6 speed MT and 6 speed AT ka option mil jaata hai.

KIA Carens

Pricing

Kia Carens ko 4 trims me offer kiya jaayega –  Premium, Prestige, Luxury and Luxury Plus. While iss car ke prices officially reveal nahi hue hai, hum expect karte hai ki ye car Rs 16 Lakh to Rs 21 Lakhs (ex-showroom) pricing ke saath launch ho.

Segment

Kia Carens ko although MPV segment me place kiya gaya but ye car compete karegi with other 7-seaters SUVs. Indian market me iss car ke main rivals Maruti XL6 and Mahindra Marazzao hai but along with them, ye car Mahindra XUV 700, Hyundai Alcazar, Tata Safari jaise vehicles se bhi compete kar sakti hai.

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram