KIA Sonet First Look Official Images Revealed

KIA Sonet First Look – Sonet ko first-time Autoexpo  2020 me dekha tha concept phase me. Aaj KIA Motors ne officially production version ki kuch images share kari he. Or kuch features bhi revealed kare he. Jisse aapko itna clear ho jayega ki Sonet ka wait karna worthy raha ya nahi. To chaliye jante he KIA Sonet ke bare me.

KIA Sonet First Look –

KIA Sonet First Look Official Images Revealed

 

Sonet ka Exterior almost 90% similar he. Jese ki Autoexpo 2020 me showcase kiya gaya tha. Front look dekhe to LED headlamp setup, Tiger nose grill, Bolder air dam, and Silver accents isse apne segment me jyada premium and mature look date he.

 

Kia sonet rear look

 

Rear design bhi concept design see kafi milta jhulta he or LED taillamp ki design segment me best rear look deti he Sonet ko rear se. Centre me KIA ka logo niche blackout bumper, rear parking camera and sensor, skid plate and reflators ise sporty appeal dete he.

KIA Sonet First Look Interior – 

Kia sonet interior

Itne time bad kuch interesting sa dekhne ko mila. Let me explain! Smooth sweeping Dashboard with Diamond knurled pattern, Minimalist center console, 10.25inch ka touch screen infotainment system jo ki navigation and UVO se less he. Vahi isme BOSE ka music system milega jo ki iske rivals ko kafi badiya takkar dene wala hai. Vahi bat ki jaye design ki to isme aapko Metalic finish me AC vents or centre console ka layout milta he.

Steering wheel pe drive and traction modes ke switches mil jate he. Or dusre controls bhi diye huye hai jisse aapki driving kaafi easy ho jati he. Seats ki is bhi kaafi badi dikhai de rahi he and front seats ka leg room bhi badiya lag raha he.

kia sonet review

To kesa laga aapko KIA Sonet ka First Look Hume niche comment kar ke bataye or koi doubt hoto Instagram pe direct massage karke puch sakte ho.

KIA Sonet Specifications –

Sonet me specifications Hyundai venue jese hi hone wali he 1.0L Turbo Petrol engine, 1.2L Petrol engine or 1.5L Diesel engine. sath hi abhi mileage figure Sonet ke liye revealed nahi hui hai. jese hi hoti hai aapko hum inform karenge uske liye aap notifications ko on kar sakte he.

KIA Sonet Spied


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram