KIA Sonet GT Trim With 1.0L Turbo Petrol Engine GTX and GTX Plus

Guys, KIA Sonet GT variant India me test hote huye dekha gaya he. KIA Motors india me sonet ko 7th August ko unveil karne wala he. Isme aapko konse engine options of features milenge chaliye jante he. Isme GTX or GTX Plus top trims hone wale he.

KIA Sonet GT –

India me is variant ko abhi test hote huye dekha gaya he, And niche diye huye photo me kya dikhai de raha hai chaliye jante he. Sabse phale to ye DCT variant he. And red inserts ke sath ye kafi achi lag rahi he. Bose ke speakers ki placing or segment me sabse bada 10.25-inch ka touch screen infotainment system. Steering wheel same seltos jesa he or uspe cruise control or voice command ke controls diye huye he.

KIA Sonet

Instrument cluster ki bat kare to usme digital speedometer or MID dikhai de rahi he. Tachometer shayd analog me ho sakta he jo ki steering wheel ke karan dikhai nahi de raha hai, Automatic headlight ke controls or front parking sensor ka button clearly visible he. Or isme 360 camera bhi diya jayega. Vahi center console me Horizontally place air vents or unhi ke bich me ac ke controls diye huye hai.

 

KIA Sonet GT

 

KIA Sonet Specifications –

Hyundai Venue ke platform pe bani Sonet me sabhi specs bhi similar hone wali he jese 1.2L Petrol engine, 1.0L Turbo Petrol engine, and 1.5L diesel engine. Sath hi gearbox unit bhi similar hone wali he.

KIA Sonet launch date

 

Source


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram