Kia Sonnet Base HTE Variant Details – Kia Motors ne Indian market ko last year enter kiya aur quickly popular ho gaye. Kia Motors ki first car, Seltos instant hit ban gayi. Iss gaadi ko customers ne bold looks, feature loaded interiors aur variety of engine and transmission options ke wajah se pasand kiya. 2020 me Kia Sonnet subcompact SUV ko launch kiya gaya jo Seltos ki tarahi hi instant hit ban gayi.
Kia Sonnet Base HTE Variant Details-
Kia Sonnet HTE Design (Looks)-
Kia Sonnet HTE variant ko simple and basic look milta hai. Front me hum signature tiger nose grille dekh sakte hai jo Seltos se carryon hota hai. Iss variant me koi bhi chrome elements nahi milta. Seltos HTE variant me hume faux skid plate with grey inserts dikh jaate hai. Iss variant me halogen headlamps, 15 inch steel wheels with rim cover, body coloured OVRMs without turn indicators, black cladding all over the body jaise elements dekhne mil jaate hai.
Kia Sonnet HTE Interior-
Kia Sonnet HTE variant ke cabin me hume thode bohot features dekhne mil jaate hai. Isme hume electrically adjustable OVRMs, 3.5 inch MID with steering mounted controls, manual ac control, front adjustable headrest, rear ac vents aur front power windows jaise features dekhne mil jaate hai. Iss variant me hume koi bhi infotainment system nahi dekhne milta. Saath hi iss variant me rear power windows nahi milta aur manual windows milta hai.
Kia Sonnet HTE Engine-
Kia Sonnet HTE variant me petrol aur diesel engine ka option mil jaata hai. Iss variant me hume 1.2-litre petrol engine milta hai jo 82 HP aur 115 Nm torque produce karta hai. Iss variant me 5 speed manual transmission hi available hai. Diesel engine variant ki baar kare toh hume 1.5-litre diesel engine dekhne milta hai jo 99 HP aur 240 Nm torque produce karta hai. Iss engine option me 6 speed manual gearbox milta hai. Kia Sonnet HTE variant ke petrol model ka price Rs 6.72 lakhs (ex-showroom) aur diesel model ka price Rs 8.06 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.