Mahindra and Mahindra February 2021 Sales Report – Mahindra & Mahindra ke sales date ke according Mahindra ne record kari hain 44% ki growth utility vehicle ki sales mein as compared to February 2020, February 2021 mein Mahindra sold 15,380 utility vehicles aur wahi doosri taraf Mahindra ne sell kari sirf 11 units of passenger vehicles Including cars & vans. total vehicles sold ki baat agar kare toh.
Mahindra ne total 15,391 units sell kari hain February 2021 mein aur Febraury 2020 mein Mahindra ne sell ki thi 10,938 units toh inn sales figures ke saath Mahindra ne definitely domestic sales better kari hain February 2021 mein. But Mahindra ki 44% ki growth mostly uski utility vehicle ki sales ki wajah se possible ho paya hain.
Mahindra and Mahindra February 2021 Sales Report-
Mahindra Commercial Vehicles Sales-
Ek taraf jaha Mahindra ne register kari growth passenger vehicle ke department mein toh commercial vehicle ke department mein Mahindra ne face kiya loss, total domestic sales figures for Mahindra commercial vehicles are as follow:
Vehicle category: | Feb’2021 | Feb’2020 | % growth | Year 2019-2020 | Year 2020-2021 | % growth |
LCV < 2ton | 1175 | 1220 | -4 % | 22148 | 36421 | -39 % |
LCV 2ton-3.5ton | 7446 | 13771 | -46 % | 113417 | 149204 | -24 % |
LCV > 3.5ton + MHCV | 581 | 865 | -33 % | 3478 | 11185 | -69 % |
3-wheelers (electric included) | 2357 | 3843 | -39 % | 16064 | 61766 | -74 % |
Toh basically commercial vehicles ke sale mein Mahindra ne definitely loss face kiya hain aur Mahindra zaroor chahegi ek acha comeback karna current financial year mein.
Mahindra Exports in February 2021-
Mahindra ne total 1827 units of vehicles export kari February 2021 mein India se bahar ki markets mein aur wahi last year February 2020 mein Mahindra exported 1839 units jisse Mahindra ko face karna pada 1% ka loss February 2021 mein, and year 2020-2021 mein Mahindra ne overall exports mein 39% ka loss face kiya.
Post By – Apoorv Arya
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.