Mahindra BlueSense Technology Details

Mahindra BlueSense Technology Details – Mahindra & Mahindra Ltd. ne introduce kardiya hain apna BLUE SENSE smart app iOS users ke liye, yeh app Android users ke liye pehle se available tha . Mahindra ka yeh app unki Global SUV, XUV500 mein bhi offer kiya jayega. BLUE SENSE app New Gen Scorpio mein Android aur Windows users ke liye bhi offer kiya jayega.

XUV500 ke customers mein iska successful response dekhne baad abb Mahindra ne existing XUV500 ke owners ke liye bhi yeh app available kara diya hain.

Mahindra BlueSense Technology Details-

Mahindra XUV300 BlueSense PLUS

Mahindra BlueSense Technology Features-

Mahindra Blue Sense App mein gaadi ke bahot saare features control karne ka option diye hain, Iss App se customers apni gaadi se connect ho sakte hain normal Bluetooth se.

Kya kya control kiya jaa sakta hain iss app se?

  • Infotainment system
  • Climate control system

XUV500 owners ko kuch aur exclusive features offer karti hain Mahindra apni Blue Sense app mein, XUV500 owners abb apni gaadi ki kuch important features jaise Tire pressure monitoring, fuel statistics etc.

Blue Sense App additional Alerts aur Warnings bhi deti hain jaise, Door Open notifications, Service Reminders, Distance to Empty aur Average Fuel Economy.

Mahindra ne yeh App abb Smart watches se bhi compatible bana diya hain, jisse aap apni Smart watch se hee apni Mahindra car ki kuch features jaise, Audio controls, Emergency Assist, Location Services aur Tyre-Tronics control kar sakte huain.

Mahindra BlueSense

Mahindra Vehicles With BlueSense Technology-

  • XUV500 ( Available in Android and iOS platforms )
  • Scorpio ( Available in Android and Windows Platforms )
  • TUV300 ( Available in Android Platform )
  • KUV100 ( Available in Android Platform )

IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram