Mahindra Bolero Neo Spotted During TVC Shoot – 2021 me Mahindra ne kafi interesting launches ko line-up kiya hai. 2020 me Mahindra ne all-new Thar ko launch kiya jo kafi successful vehicle raha hai. Mahindra ne TUV300 ko low sales ke wajah se discontinue kar diya tha. Reports se hume pata chala tha ki, Mahindra TUV300 facelift pe work kar raha hai aur isse hum jald hee dekh sakenge. Recently, hume sources ke through pata chala hai ki, Mahindra Bolero Neo ko launch karne wala hai jo completely new Bolero hoga.
Mahindra Bolero Neo Spotted During TVC Shoot-
Mahindra Bolero Neo Details-
Hume, Mahindra Bolero Neo ke spy images dekhne mile hai jahan iss ka TVC shoot kiya jaa raha tha. Spy images se hume clearly dekhne milta hai ki, Mahindra Bolero Neo sirf nameplate hai for TUV300 facelift. Inn spy images me hum clearly dekh sakte hai ki, Mahindra Bolero Neo, TUV300 ka facelift model hai jisme hume exterior changes dekhne milte hai.
Bolero Neo me hume new front chrome grille, sleeker headlamps, faux skid plate, honeycomb pattern air dam, vertically stacked LED tail lamps, squared wheel arches, etc. dekhne milte hai. Iss car me hume same upright stance, tall pillars and squared body dekhne milta hai jo hume older TUV 300 me dekhne milta tha.
Mahindra Bolero Neo Engine-
Mahindra Bolero Neo me hume same 1.5-litre diesel engine dekhne mil sakta hai jo ab BS6 compliant hoga. Ye engine 100 HP and 240 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 5-speed manual transmission milta hai.
Mahindra, TUV ke nametag ko Bolero se replace karke wise decision le raha hai as Bolero aaj bhi rural markets me famous hai, aur Bolero Neo ke introduction se zyada sales attract kar sakta hai. Bolero Neo ka launch hum jald hee expect kar sakte hai.
Source – Motorbeam
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.