Mahindra Thar 2020 Price, Features, Interior, Off Road, Drive

Mahindra Thar 2020 Price, Features, Interior, Off Road, Drive – Guys Mahindra ne New Thar ko unveiled kar diya hai. Aaj iske bare me sabhi kuch janege Specially iske new engine options ke bare me and Off roading capability’s ke bare me.

Mahindra Thar 2020 Off Road Drive

Mahindra Thar 2020 Price –

15th August ko company ne ise sirf unveil kiya hai Launch ise 2nd October ko kiya jayega and price bhi usi din aayegi. Vahi abhi ek choti si drive iski jaroor karwai hai. But full review hona baki hai.

Mahindra Thar 2020 Looks –

Exterior – The real SUVish look diya hai company ne ise. But ha pahle se jyada alag nahi hai. Ye bol sakte hai ki pahle se jyada mature bana diya gaya he. Kahi jagah log jo modification karte the Thar me. Ab shayad hi kuch modifications ki requirements hogi. Samne se macular look diya gaya hai Round headlamp and fog lamps diye gaye hai bumper me. But abhi bhi halogen bulbs ke sath me. Or LED day time running light front fender pe di gai hai vahi dual tone me front bumper kafi chunky look gaadi ko provide kar raha hai.

Mahindra Thar 2020 new look

Side se dekhne me kafi strong lagti hai. Quality fit&finish kafi achi hai. Thar ki badging bahut si jagah ki gai hai. Ya ye bolo ki kahi jagah nahi chodi hai company ne. But jaha bhi ki hui hai lagti acchi hai.

Vahi rear se ye pahle se jyada chodi lagti hai. Or new led tail lamp se iska look bahut hi acha or premium ho gaya hai. Vahi rear door pe spare wheel milta hai. Vahi ab isme aapko 18inches ke Alloy wheels milenge. 225 section ke tyres ke sath.

Interior – Jese hi aap plastic footrest se step in karte hai. Aapko thar ki ruggedness ka or ache se pata chalta hai. Seats and gear nobs ko aap gile kapde se saf kar sakte hai. (ip54) rating hai unki. Jisse aap Sunday ko off roading karke aaye ho to ise saf karke office le kar Monday ko ja sake.

Mahindra Thar 2020 interior

Sabhi jagah hard plastic hai. Kahi bhi soft touch material nahi diya gaya hai. Or jo plastic use kiya hai vo long time tak vesa hi rahega us type ka hai. Scratches aane ke chance kam hai us quality ke plastics ka use kiye hai. Steering TUV300 se milti jhutli hai. MID me kai sare features diye huye hai jinki bat aage karene wale hai.

Seats ki cushioning acchi hai but width or behtar ho sakti thi. And rear seat space bhi decent hai. But boot space me space kam bachti hai jiski vajah se aap ise normal ek ya do din ke liye kahi ghumne leke ja sakte hai. Or agar off roading karne gaye to aap vaha tyre inflator and dusri accessories rakhne me us jagah ka use  karenge.

Mahindra Thar 2020 Specifications –

Petrol – 2.0L mStallion 150 TGDI engine
Power – 150bhp @ 5000rpm
Torque – 320nm @ 1500-3000rpm
Gearbox – 6 Speed Manual and Automatic

Mahindra Thar 2020 engine

Diesel – India’s First All-Aluminium 2.2L Turbo Diesel Four-Cylinder mHawk 130
Power – 130bhp @ 5370rpm
Torque – 320nm @ 1600-2800rpm
Gearbox – 6 Speed Manual and Torque Converter

Mahindra Thar 2020 Off Roading Features – 

  • Authentic Body-on-Frame Construction- A True SUV
  • Independent Front Suspension & Multi-Link Rear Suspension set-up
  • Shift-on-the-Fly 4×4 Manual Shift Transfer Case with Low Ratio
  • Mechanical Locking Differential on the Rear Axle
  • First-in-Class Brake Locking Differential
  • Class-leading approach (41.8 deg), departure (36.8 deg) & ramp over (27 deg) angles
  • Ground clearance of 226mm in unladen condition
  • Water wading depth of 650mm
  • All-Terrain Tyres 255/65 R18, with White Lettering: The Largest Tyre in its Class
  • First-in-Class Electromechanical Driveline Disconnect

Mahindra Thar 2020 features

Mahindra Thar 2020 Comfort and Convenience Features – 

·         Sporty Front Seats
·         Front-Facing Rear Seats with 50:50 split
·         Roof mounted speakers
·         Height Adjustable Driver Seat with Adjustable Lumbar Support
·         One-Touch Tip & Slide Mechanism on the Co-Driver Seat
·         Tilt Adjustable Steering Wheel
·         Power Windows
·         Electrically Adjustable ORVMs
·         Central Locking with Remote Flip Key

Mahindra Thar 2020 dashboard

Technology in New Mahindra Thar 2020 – 

·         18 cm Touchscreen Infotainment System with Android Auto, Apple CarPlay, USB, Navigation
·         First-in-Class Adventure Statistics Display on the Infotainment System
·         First-in-Class Adventure Connect: Mahindra Adventure Calendar Display
·         First-in-Class Smart Watch & Phone Connectivity with Blue Sense App
·         TFT Multi Information Display in the Instrument Cluster
·         Electronic HVAC Controls
·         Drizzle resistant (IP54 Standard) dashboard switches
·         First-in-Class Tyre-tronics: Tyre Pressure Monitoring System
·         First-in-Class Tyre Direction Monitoring System
·         Cruise Control
·         Steering Mounted Audio & Phone Controls

Mahindra Thar 2020 off road

Mahindra Thar 2020 Safety Features List – 

·         Crash-safety compliant body-shell
·         First-in-Class ESP with Rollover Mitigation
·         First-in-Class Built-in Roll-cage with 3-Point Seat belts for all passengers
·         Dual Airbags & ABS
·         First-in-Class Hill Hold & Hill Descent Control
·         First-in-Class ISOFIX Child Seat Mounts
·         Intellipark : Rear Parking Sensors

What About Driving of The All New Mahindra Thar 2020? –

Kisine pahle wali thar chalai ho and new thar ko chalayega to pata chalega ki ye new platform pe hai new body design or new interior ke sath launch hui hai. And bahut badi bat hai ki iski driving bhi bahut change ho gai hai. Diesel engine kafi refine feel hota hai. Low end me torque kafi acha milta hai. vahi mid range ki performance badiya hai. Top end tak rev karne ka moka nahi mila.

But iske full review me aapko on-road or off-road performance dono ke bare me pata chal jayega jo ki bahut jald aane wala hai. Vahi iske gearbox pahle se smooth hai. Steering wheel me abhi bhi free play bahut hai. Or brake bites achi hai. But 4 wheels me disc brakes milte to or maja aajata. Sath hi isme aapko plan roads pe to kaafi acha feel hota hai. Pahle ke compare me insulation me bahut kuch sudhar hai. But abhi bhi jab aap bumps pe se nikalte ho to aapko andar suspension noise or vibrations feel hoti hai.

Rear seats pe ride quality long ride ke liye achi nahi hai but ha aap normal short drive 150-200km ki kar sakte hai. Sabse acha lagta hai iske cabin ki visibility jo ki bilkul bhi aapko claustrophobic feel nahi deti hai. Bade bade glaas aapko charo taraf milte hai. Last but not least iske Speaker ki placing bahut hi sahi jagah ki gai hai Or unka sound bhi kaafi acha hai.

Mahindra Thar 2020 review

So guys these is Mahindra Thar 2020 First Impression – I Hope aapko andaza ho gaya hoga ki gaadi kesi hai. Or baki bahut si bate hai iske bare me jo ki full review me hi aapko pata chalegi kuch ke bare me to abhi bata bhi nahi sakte because of EMBARGO.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram