Mahindra Thar Price – Mahindra ne August 2020 me apni off-road SUV Thar ko reveal kiya tha aur uss samay se he kafi logo ne iss gaadi ko pasand kiya hai. Mahindra ne iss gaadi ko ek major facelift diya hai jisse iski styling aur zyada muscular aur bold ho chuki hai. Abhi tak Mahindra 20,000 se bhi zyada booking le chukka hai iss naye Mahindra Thar ki. Itne zyada booking hone ke wajah se ab iss off-roader ke waiting 7 mahine tak ki ho chuki hai.
Mahindra Thar Price Hike From December
Haal he me Mahindra ne yeh decision liya hai ke, 1 st December 2020 Mahindra Thar ki price badha de jayegi. Mahindra sabse pehle apne unn customers ko inform karna shuru kiya jinhone already Thar book hai ki, iss price change sirf unn logo ke liye hai jo 1 st December 2020 se iss car ko book karenge. Agar pricing ki baat kari jae toh 2020 Mahindra Thar ki petrol variant ka price INR 9.8 Lakhs se 13.55 Lakhs (ex-showrrom) hai aur diesel variant ka price INR 10.85 Lakhs se 13.75 Lakhs (ex-showroom) hai. Hum expect kar sakte hai ke price change few thousands me hoga.
Mahindra Thar Safety Rating –
2020 Mahindra Thar ko Global NCAP test me 4 stars mile jisse Mahindra Thar is country ki sabse safest off-roader vehicle hai.
https://www.instagram.com/p/CIAqCu0ACoS/
Mahindra Thar Specifications –
Engine ki baat kare toh ye gaadi 2 engine options main available hai. Pehle, 2.0- litre turbo-petrol engine jo 152 HP aur 320 Nm torque produce karta hai. Dusra, 2.2-litre turbocharged diesel engine jo 132 HP aur 300 Nm torque produce karta hai. Dono hee engine options main 6 speed manual ya 6 speed automatic gearbox milta hai.
Post By – Aditya Vaitheswaran
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.