Mahindra XUV300 Petrol AT Launched in India at Rs 9.95 Lakhs

Mahindra XUV300 Petrol AT Launched in India at Rs 9.95 Lakhs – Sub-compact SUV segment, Indian market ki most competitive segment hai. Iss segment me over 8 different cars hai from different manufacturers. Iss segement me competition, day-by-day increase ho raha hai. Manufacturers bhi ensure kar rahe hai ki woh apne vehicles to time to time update kare.

Mahindra XUV300 ko February 2019 me launch kiya gaya tha. Iss car ne Indian market me accha perform kiya hai. Mahindra ne ab competition me up to date rehne ke liye XUV300 ke Petrol AT variant ko launch kar diya hai.

Mahindra XUV300 Petrol AT Launched in India at Rs 9.95 Lakhs-

Mahindra XUV300 Petrol AMT

Mahindra XUV300 Petrol AT Details-

Mahindra ne initially, AMT transmission only diesel engine ke saath offer kar raha tha. Apne range ko expand karte hue, Mahindra ab AMT gearbox ab Petrol engine ke saath bhi offer kar raha hai. Mahindra XUV300 ko four variants me offer kiya jaata hai – W4, W6, W8, and W8(O). Mahindra AMT gearbox W6 variants se offer kar raha hai. Saath hi Mahindra ne ye bhi announce kiya ki ab XUV300 ke W6 variants se woh electric sunroof bhi offer karega.

Mahindra XUV300 BlueSense PLUS

Mahindra XUV300 ke top end W8 (O) variant me hume ab BlueSense Plus technology dekhne milega jo kai saare features offer karega. BlueSense Plus technology ke saath hume live vehicle tracking, remote lock/unlock, safety and security alerts, vehicle information alerts, emergency assist, etc. jaise features ko access karne milta hai.

Mahindra XUV300 Petrol AT Engine-

Mahindra XUV300 Petrol AT model me hume 1.2-litre turbocharged engine dekhne milta hai jo 110 PS power and 200 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko ab AMT transmission milta hai. XUV300 ke petrol engine me hume same engine with 6 speed manual transmission bhi offer hota hai. Iske alawa hume XUV300 me 1.5-litre diesel engine ka option bhi mil jaata hai jo 117 PS power and 300 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 6 speed manual and 6 speed automatic transmission ka option mil jaata hai.

Mahindra XUV300 Petrol AutoSHIFT


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram