Maruti and Toyota to jointy develop Creta, Seltos Rival

Maruti and Toyota to jointy develop Creta, Seltos Rival – Maruti Suzuki India ke current product portfolio me hume Vitara Brezza and S-Cross jaise vehicles dekhne milte hai. Toyota India compact SUV segment me Urban Cruiser ko offer karta hai.

Toyota and Maruti Suzuki ne joint venture agreement sign kiya jahan dono manufacturers jointly vehicles ko develop karenge aur share karenge. Iss agreement ke under humne Toyota Glanza and Toyota Urban Cruiser dekha jo based hai on Maruti Suzuki Baleno and Maruti Suzuki Vitara Brezza.

Maruti and Toyota to jointy develop Creta, Seltos Rival –

Toyota C-HR

Maruti – Toyota Crossover Vehicle-

Sources se hume information mili hai ki, Maruti and Toyota jointly work kar rahi to develop a crossover vehicle, jisse Vitara Brezza ke above place kiya jayega. Iss car ko internally D22 codename kiya gaya hai. Iss new D22 model ko Toyota ke manufacturing unit me develop kiya jayega aur components ke sourcing, Maruti Suzuki karega.

Toyota C-HR Spotted in India

Image Source – Team-BHP

Maruti – Toyota Crossover Vehicle Engine-

D22 model me hum Maruti Suzuki ki 1.5-litre, four-cylinder petrol engine dekh sakte hai jo 105 PS power and 138 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 5 speed manual and automatic gearbox ka option dekhne mil sakta hai. Iss same engine ko hum other Maruti vehicles me dekh sakte hai jaise – Vitara Brezza, Ciaz and Ertiga.

Maruti Suzuki apne other crossover vehicle par bhi work kar rahi hai jo based hai Baleno hatchback pe. Iss car ko YTB codename diya  gaya hai.

D22 model ko Vitara Brezza/ Urban Cruiser ke above position kiya  jayega aur ye car compete kar sakti hai with Hyundai Creta and Kia Seltos. Iss car ka launch hum 2022 me expect kar sakte hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram