Maruti Suzuki begins Jimny assembly

Maruti Suzuki begins Jimny assembly – Maruti Suzuki ne 2020 AutoExpo me Suzuki Jimny ko showcase kiya tha. Maruti ne iss car ko AuoExpo me Indian consumers ke response reocord karne ke liye laya tha. Rumours se pata chalta hai ki, Maruti Suzuki, India me 5-door Jimny launch karega. Haal hee me, Maruti Suzuki ne India me 3-door Jimny ke 50 units assemble kiye.

Maruti Suzuki begins Jimny assembly-

Suzuki Jimny in India

Suzuki Jimny Assembly –

Suzuki Jimny SUV ke European aur Japanese market me demand kafi high hai. Suzuki ki Kosai Plant, Japan ne maximum production capacity reach kar diya hai. Increased demand ko meet karne ke liye, Suzuki ne Gurugram facility me Suzuki Jimny ke trail assembly ko start kiya hai. India me Suzuki Jimny ke 50 units ko assemble kiya jayega through CKD kits jisse Japan se import kiya jaa rha hai. Inn 50 units ko fir export kiya jayega.

Maruti Suzuki Jimny Images

Suzuki Jimny Specification-

Suzuki Jimny, Suzuki ki smallest 4×4 vehicle hai. Ye SUV international market me 3-door variant ke saath available hai. Iss car me hume Suzuki ki longitudinally mounted K16B petrol engine dekhne milta hai jo 105 HP aur 138 Nm torque produce karti hai. Iss car me 5 speed manual aur 4 speed automatic torque convertor gearbox mil jaata hai. Ye engine hume Ertiga, XL6, Ciaz aur Vitara Brezza jaise cars me dekhne milta hai.

Maruti Suzuki Jimny

India me Suzuki Jimny ke launch hum end of 2021 me expect kar sakte hai. Ye car directly compete karegi Mahindra Thar se. Iss car ki price close to Rs 15 lakhs (ex-showroom) ho sakta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram