Maruti Suzuki ne recently all-new Celerio ko Indian market me launch kiya hai. All-new Celerio me hume host of changes dekhne milte hai. Maruti Celerio, Indian market me directly compete karti hai with Tata Tiago jisne already kai benchmark set kar rakhe hai. Aaj hume in detail comparison dekhne wale hai of Maruti Suzuki Celerio and Tata Tiago.
Maruti Suzuki Celerio vs Tata Tiago Comparison
Price
Maruti Suzuki Celerio ki starting price Rs 4.99 Lakhs (ex-showroom) hai for the base LXI variant. Iss car ki top-end spec variant ZXI+ AGS ki price Rs 6.94 Lakhs hai (ex-showroom)
Tata Tiago ki starting price Rs 4,99,900 (ex-showroom) hai for the base XE variant. Iss car ki top end spec variant XZA+DT ki price Rs 7,04,900 (ex-showroom) hai. Tata Tiago me hume performance NRG model bhi offer kiya jaata hai jiski pricing Rs 7,09,400 (ex-showroom) hai.
Pricing ke comparison me zyda difference nahi hai dono cars me but Celerio , Tiago ke top end spec variant ko marginally undercut karti hai.
Engine
Maruti Celerio me hume K10C, 998cc, 3-cylinder Petrol engine offer kiya jaata hai jo 67.5 HP power and 89 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 5 speed manual and AMT transmission bhi offer hota hai. Maruti claim karta hai ki ye India ki Most Fuel Efficient Petrol Car hai with mileage of 26.68 kmpl.
Tata Tiago me hume 1199cc, Revetron, 3-Cylinder Petrol engine offer hota hai jo 84.48 HP power and 113 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 5 speed manual and 5 speed AMT transmission offer kiya jaata hai. Tata Tiago ki ARAI claimed mileage 19-23 kmpl hai.
Dimensions
Maruti Celerio ke dimensions 3695mm x 1655mm x 1555mm hai. Iss car ki wheelbase 2435mm hai. Celerio me hume 14inch ke tyres offer hote hai.
Tata Tiago ke dimensions 3765mm x 1677mm x 1535mm hai. Iss car ka wheelbase 2400mm hai. Iss car me hume 15inch ke tyres offer kiye jaate hai.
Features
Maruti Suzuki Celerio me hume dual front airbags, ABS, headlight levelling, immobilizer, rear defogger, reverse parking sensor, engine idle start/stop, Hill hold assist, front ventilated disc, electrically foldable OVRMs, Smartplay Stuido system with Android Auto and Apple CarPlay, Steering mounted cotrols jaise features dekhne mil jaate hai.
Tata Tiago me hume dual front airbags, ABS with EBD, corner stability control, follow-me-home headlamps, rear parking camera, engine immobilizer, rear defogger, front fog lamps, touchscreen infotainment system with Android Auto and Apple Carplay, steering mounted controls, voice command through Android Auto, electrically foldable OVRMs jaise features offer hote hai.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.